Lūqā 21
21
Bewā kā Chandā
1Īsā ne nazar uṭhā kar dekhā ki amīr log apne hadiye Baitul-muqaddas ke chande ke baks meṅ ḍāl rahe haiṅ. 2Ek ġharīb bewā bhī wahāṅ se guzarī jis ne us meṅ tāṅbe ke do māmūlī-se sikke ḍāl die. 3Īsā ne kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki is ġharīb bewā ne tamām logoṅ kī nisbat zyādā ḍālā hai. 4Kyoṅki in sab ne to apnī daulat kī kasrat se kuchh ḍālā jabki is ne zarūratmand hone ke bāwujūd bhī apne guzāre ke sāre paise de die haiṅ.”
Baitul-muqaddas par Āne Wālī Tabāhī
5Us waqt kuchh log Baitul-muqaddas kī tārīf meṅ kahne lage ki wuh kitne ḳhūbsūrat pattharoṅ aur mannat ke tohfoṅ se sajī huī hai. Yih sun kar Īsā ne kahā, 6“Jo kuchh tum ko yahāṅ nazar ātā hai us kā patthar par patthar nahīṅ rahegā. Āne wāle dinoṅ meṅ sab kuchh ḍhā diyā jāegā.”
Musībatoṅ aur Īzārasānī kī Peshgoī
7Unhoṅ ne pūchhā, “Ustād, yih kab hogā? Kyā kyā nazar āegā jis se mālūm ho ki yih ab hone ko hai?”
8Īsā ne jawāb diyā, “Ḳhabardār raho ki koī tumheṅ gumrāh na kar de. Kyoṅki bahut-se log merā nām le kar āeṅge aur kaheṅge, ‘Maiṅ hī Masīh hūṅ’ aur ki ‘Waqt qarīb ā chukā hai.’ Lekin un ke pīchhe na lagnā. 9Aur jab jangoṅ aur fitnoṅ kī ḳhabreṅ tum tak pahuṅcheṅgī to mat ghabrānā. Kyoṅki lāzim hai ki yih sab kuchh pahle pesh āe. To bhī abhī āḳhirat na hogī.”
10Us ne apnī bāt jārī rakhī, “Ek qaum dūsrī ke ḳhilāf uṭh khaṛī hogī, aur ek bādshāhī dūsrī ke ḳhilāf. 11Shadīd zalzale āeṅge, jagah jagah kāl paṛeṅge aur wabāī bīmāriyāṅ phail jāeṅgī. Haibatnāk wāqiyāt aur āsmān par baṛe nishān deḳhne meṅ āeṅge. 12Lekin in tamām wāqiyāt se pahle log tum ko pakaṛ kar satāeṅge. Wuh tum ko Yahūdī ibādatḳhānoṅ ke hawāle kareṅge, qaidḳhānoṅ meṅ ḍalwāeṅge aur bādshāhoṅ aur hukmrānoṅ ke sāmne pesh kareṅge. Aur yih is lie hogā ki tum mere pairokār ho. 13Natīje meṅ tumheṅ merī gawāhī dene kā mauqā milegā. 14Lekin ṭhān lo ki tum pahle se apnā difā karne kī taiyārī na karo, 15kyoṅki maiṅ tum ko aise alfāz aur hikmat atā karūṅga ki tumhāre tamām muḳhālif na us kā muqābalā aur na us kī tardīd kar sakeṅge. 16Tumhāre wālidain, bhāī, rishtedār aur dost bhī tum ko dushman ke hawāle kar deṅge, balki tum meṅ se bāz ko qatl kiyā jāegā. 17Sab tum se nafrat kareṅge, is lie ki tum mere pairokār ho. 18To bhī tumhārā ek bāl bhī bīkā nahīṅ hogā. 19Sābitqadam rahne se hī tum apnī jān bachā loge.
Yarūshalam kī Tabāhī
20Jab tum Yarūshalam ko faujoṅ se ghirā huā dekho to jān lo ki us kī tabāhī qarīb ā chukī hai. 21Us waqt Yahūdiyā ke bāshinde bhāg kar pahāṛī ilāqe meṅ panāh leṅ. Shahr ke rahne wāle us se nikal jāeṅ aur dehāt meṅ ābād log shahr meṅ dāḳhil na hoṅ. 22Kyoṅki yih ilāhī ġhazab ke din hoṅge jin meṅ wuh sab kuchh pūrā ho jāegā jo kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai. 23Un ḳhawātīn par afsos jo un dinoṅ meṅ hāmilā hoṅ yā apne bachchoṅ ko dūdh pilātī hoṅ, kyoṅki mulk meṅ bahut musībat hogī aur is qaum par Allāh kā ġhazab nāzil hogā. 24Log unheṅ talwār se qatl kareṅge aur qaid karke tamām Ġhairyahūdī mamālik meṅ le jāeṅge. Ġhairyahūdī Yarūshalam ko pāṅwoṅ tale kuchal ḍāleṅge. Yih silsilā us waqt tak jārī rahegā jab tak Ġhairyahūdiyoṅ kā daur pūrā na ho jāe.
Ibn-e-Ādam kī Āmad
25Sūraj, chāṅd aur sitāroṅ meṅ ajīb-o-ġharīb nishān zāhir hoṅge. Qaumeṅ samundar ke shor aur ṭhāṭheṅ mārne se hairān-o-pareshān hoṅgī. 26Log is andeshe se ki kyā kyā musībat duniyā par āegī is qadar ḳhauf khāeṅge ki un kī jān meṅ jān na rahegī, kyoṅki āsmān kī quwwateṅ hilāī jāeṅgī. 27Aur phir wuh Ibn-e-Ādam ko baṛī qudrat aur jalāl ke sāth bādal meṅ āte hue dekheṅge. 28Chunāṅche jab yih kuchh pesh āne lage to sīdhe khaṛe ho kar apnī nazar uṭhāo, kyoṅki tumhārī najāt nazdīk hogī.”
Anjīr ke Daraḳht kī Tamsīl
29Is silsile meṅ Īsā ne unheṅ ek tamsīl sunāī. “Anjīr ke daraḳht aur bāqī daraḳhtoṅ par ġhaur karo. 30Jyoṅ hī koṅpleṅ nikalne lagtī haiṅ tum jān lete ho ki garmiyoṅ kā mausam nazdīk hai. 31Isī tarah jab tum yih wāqiyāt dekhoge to jān loge ki Allāh kī bādshāhī qarīb hī hai.
32Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki is nasl ke ḳhatm hone se pahle pahle yih sab kuchh wāqe hogā. 33Āsmān-o-zamīn to jāte raheṅge, lekin merī bāteṅ hameshā tak qāym raheṅgī.
Ḳhabardār Rahnā
34Ḳhabardār raho tāki tumhāre dil aiyāshī, nashābāzī aur rozānā kī fikroṅ tale dab na jāeṅ. Warnā yih din achānak tum par ān paṛegā, 35aur phande kī tarah tumheṅ jakaṛ legā. Kyoṅki wuh duniyā ke tamām bāshindoṅ par āegā. 36Har waqt chaukas raho aur duā karte raho ki tum ko āne wālī in sab bātoṅ se bach nikalne kī taufīq mil jāe aur tum Ibn-e-Ādam ke sāmne khaṛe ho sako.”
37Har roz Īsā Baitul-muqaddas meṅ tālīm detā rahā aur har shām wuh nikal kar us pahāṛ par rāt guzārtā thā jis kā nām Zaitūn kā Pahāṛ hai. 38Aur tamām log us kī bāteṅ sunane ke lie subah-sawere Baitul-muqaddas meṅ us ke pās āte the.
Seçili Olanlar:
Lūqā 21: GVR
Vurgu
Paylaş
Kopyala
Önemli anlarınızın tüm cihazlarınıza kaydedilmesini mi istiyorsunuz? Kayıt olun ya da giriş yapın
Copyright © 2019 Urdu Geo Version. CC-BY-NC-ND