Lūqā 22

22
Īsā ke ḳhilāf Mansūbābandiyāṅ
1Beḳhamīrī Roṭī kī Īd yānī Fasah kī Īd qarīb ā gaī thī. 2Rāhnumā imām aur sharīat ke ulamā Īsā ko qatl karne kā koī mauzūṅ mauqā ḍhūnḍ rahe the, kyoṅki wuh awām ke radd-e-amal se ḍarte the.
Īsā ko Dushman ke Hawāle Karne kā Mansūbā
3Us waqt Iblīs Yahūdāh Iskariyotī meṅ samā gayā jo bārah rasūloṅ meṅ se thā. 4Ab wuh rāhnumā imāmoṅ aur Baitul-muqaddas ke pahredāroṅ ke afsaroṅ se milā aur un se bāt karne lagā ki wuh Īsā ko kis tarah un ke hawāle kar sakegā. 5Wuh ḳhush hue aur use paise dene par muttafiq hue. 6Yahūdāh razāmand huā. Ab se wuh is talāsh meṅ rahā ki Īsā ko aise mauqe par un ke hawāle kare jab hujūm us ke pās na ho.
Fasah kī Īd ke lie Taiyāriyāṅ
7Beḳhamīrī Roṭī kī Īd āī jab Fasah ke lele ko qurbān karnā thā. 8Īsā ne Patras aur Yūhannā ko āge bhej kar hidāyat kī, “Jāo, hamāre lie Fasah kā khānā taiyār karo tāki ham jā kar use khā sakeṅ.”
9Unhoṅ ne pūchhā, “Ham use kahāṅ taiyār kareṅ?”
10Us ne jawāb diyā, “Jab tum shahr meṅ dāḳhil hoge to tumhārī mulāqāt ek ādmī se hogī jo pānī kā ghaṛā uṭhāe chal rahā hogā. Us ke pīchhe chal kar us ghar meṅ dāḳhil ho jāo jis meṅ wuh jāegā. 11Wahāṅ ke mālik se kahnā, ‘Ustād āp se pūchhte haiṅ ki wuh kamrā kahāṅ hai jahāṅ maiṅ apne shāgirdoṅ ke sāth Fasah kā khānā khāūṅ?’ 12Wuh tum ko dūsrī manzil par ek baṛā aur sajā huā kamrā dikhāegā. Fasah kā khānā wahīṅ taiyār karnā.”
13Donoṅ chale gae to sab kuchh waisā hī pāyā jaisā Īsā ne unheṅ batāyā thā. Phir unhoṅ ne Fasah kā khānā taiyār kiyā.
Fasah kā Āḳhirī Khānā
14Muqarrarā waqt par Īsā apne shāgirdoṅ ke sāth khāne ke lie baiṭh gayā. 15Us ne un se kahā, “Merī shadīd ārzū thī ki dukh uṭhāne se pahle tumhāre sāth mil kar Fasah kā yih khānā khāūṅ. 16Kyoṅki maiṅ tum ko batātā hūṅ ki us waqt tak is khāne meṅ sharīk nahīṅ hūṅgā jab tak is kā maqsad Allāh kī bādshāhī meṅ pūrā na ho gayā ho.”
17Phir us ne mai kā pyālā le kar shukrguzārī kī duā kī aur kahā, “Is ko le kar āpas meṅ bāṅṭ lo. 18Maiṅ tum ko batātā hūṅ ki ab se maiṅ angūr kā ras nahīṅ piyūṅgā, kyoṅki aglī dafā ise Allāh kī bādshāhī ke āne par piyūṅgā.”
19Phir us ne roṭī le kar shukrguzārī kī duā kī aur use ṭukṛe karke unheṅ de diyā. Us ne kahā, “Yih merā badan hai, jo tumhāre lie diyā jātā hai. Mujhe yād karne ke lie yihī kiyā karo.” 20Isī tarah us ne khāne ke bād pyālā le kar kahā, “Mai kā yih pyālā wuh nayā ahd hai jo mere ḳhūn ke zariye qāym kiyā jātā hai, wuh ḳhūn jo tumhāre lie bahāyā jātā hai.
21Lekin jis shaḳhs kā hāth mere sāth khānā khāne meṅ sharīk hai wuh mujhe dushman ke hawāle kar degā. 22Ibn-e-Ādam to Allāh kī marzī ke mutābiq kūch kar jāegā, lekin us shaḳhs par afsos jis ke wasīle se use dushman ke hawāle kar diyā jāegā.”
23Yih sun kar shāgird ek dūsre se bahs karne lage ki ham meṅ se yih kaun ho saktā hai jo is qism kī harkat karegā.
Kaun Baṛā Hai?
24Phir ek aur bāt bhī chhiṛ gaī. Wuh ek dūsre se bahs karne lage ki ham meṅ se kaun sab se baṛā samjhā jāe. 25Lekin Īsā ne un se kahā, “Ġhairyahūdī qaumoṅ meṅ bādshāh wuhī haiṅ jo dūsroṅ par hukūmat karte haiṅ, aur iḳhtiyār wāle wuhī haiṅ jinheṅ ‘Mohsin’ kā laqab diyā jātā hai. 26Lekin tum ko aisā nahīṅ honā chāhie. Is ke bajāe jo sab se baṛā hai wuh sab se chhoṭe laṛke kī mānind ho aur jo rāhnumāī kartā hai wuh naukar jaisā ho. 27Kyoṅki ām taur par kaun zyādā baṛā hotā hai, wuh jo khāne ke lie baiṭhā hai yā wuh jo logoṅ kī ḳhidmat ke lie hāzir hotā hai? Kyā wuh nahīṅ jo khāne ke lie baiṭhā hai? Beshak. Lekin maiṅ ḳhidmat karne wāle kī haisiyat se hī tumhāre darmiyān hūṅ.
28Dekho, tum wuhī ho jo merī tamām āzmāishoṅ ke daurān mere sāth rahe ho. 29Chunāṅche meṅ tum ko bādshāhī atā kartā hūṅ jis tarah Bāp ne mujhe bhī bādshāhī atā kī hai. 30Tum merī bādshāhī meṅ merī mez par baiṭh kar mere sāth khāo aur piyoge, aur taḳhtoṅ par baiṭh kar Isrāīl ke bārah qabīloṅ kā insāf karoge.
Patras ke Inkār kī Peshgoī
31Shamāūn, Shamāūn! Iblīs ne tum logoṅ ko gandum kī tarah phaṭakne kā mutālabā kiyā hai. 32Lekin maiṅ ne tere lie duā kī hai tāki terā īmān jātā na rahe. Aur jab tū muṛ kar wāpas āe to us waqt apne bhāiyoṅ ko mazbūt karnā.”
33Patras ne jawāb diyā, “Ḳhudāwand, maiṅ to āp ke sāth jel meṅ bhī jāne balki marne ko taiyār hūṅ.”
34Īsā ne kahā, “Patras, maiṅ tujhe batātā hūṅ ki kal subah murġh ke bāṅg dene se pahle pahle tū tīn bār mujhe jānane se inkār kar chukā hogā.”
Ab Baṭwe, Baig aur Talwār kī Zarūrat Hai
35Phir us ne un se pūchhā, “Jab maiṅ ne tum ko baṭwe, sāmān ke lie baig aur jūtoṅ ke baġhair bhej diyā to kyā tum kisī bhī chīz se mahrūm rahe?”
Unhoṅ ne jawāb diyā, “Kisī se nahīṅ.”
36Us ne kahā, “Lekin ab jis ke pās baṭwā yā baig ho wuh use sāth le jāe, balki jis ke pās talwār na ho wuh apnī chādar bech kar talwār ḳharīd le. 37Kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘Use mujrimoṅ meṅ shumār kiyā gayā’ aur maiṅ tum ko batātā hūṅ, lāzim hai ki yih bāt mujh meṅ pūrī ho jāe. Kyoṅki jo kuchh mere bāre meṅ likhā hai use pūrā hī honā hai.”
38Unhoṅ ne kahā, “Ḳhudāwand, yahāṅ do talwāreṅ haiṅ.” Us ne kahā, “Bas! Kāfī hai!”
Zaitūn ke Pahāṛ par Īsā kī Duā
39Phir wuh shahr se nikal kar māmūl ke mutābiq Zaitūn ke pahāṛ kī taraf chal diyā. Us ke shāgird us ke pīchhe ho lie. 40Wahāṅ pahuṅch kar us ne un se kahā, “Duā karo tāki āzmāish meṅ na paṛo.”
41Phir wuh unheṅ chhoṛ kar kuchh āge niklā, taqrīban itne fāsile par jitnī dūr tak patthar phaiṅkā jā saktā hai. Wahāṅ wuh jhuk kar duā karne lagā, 42“Ai Bāp, agar tū chāhe to yih pyālā mujh se haṭā le. Lekin merī nahīṅ balki terī marzī pūrī ho.” 43Us waqt ek farishte ne āsmān par se us par zāhir ho kar us ko taqwiyat dī. 44Wuh saḳht pareshān ho kar zyādā dilsozī se duā karne lagā. Sāth sāth us kā pasīnā ḳhūn kī būṅdoṅ kī tarah zamīn par ṭapakne lagā.
45Jab wuh duā se fāriġh ho kar khaṛā huā aur shāgirdoṅ ke pās wāpas āyā to dekhā ki wuh ġham ke māre so gae haiṅ. 46Us ne un se kahā, “Tum kyoṅ so rahe ho? Uṭh kar duā karte raho tāki āzmāish meṅ na paṛo.”
Īsā kī Giriftārī
47Wuh abhī yih bāt kar hī rahā thā ki ek hujūm ā pahuṅchā jis ke āge āge Yahūdāh chal rahā thā. Wuh Īsā ko bosā dene ke lie us ke pās āyā. 48Lekin us ne kahā, “Yahūdāh, kyā tū Ibn-e-Ādam ko bosā de kar dushman ke hawāle kar rahā hai?”
49Jab us ke sāthiyoṅ ne bhāṅp liyā ki ab kyā hone wālā hai to unhoṅ ne kahā, “Ḳhudāwand, kyā ham talwār chalāeṅ?” 50Aur un meṅ se ek ne apnī talwār se imām-e-āzam ke ġhulām kā dahnā kān uṛā diyā.
51Lekin Īsā ne kahā, “Bas kar!” Us ne ġhulām kā kān chhū kar use shafā dī. 52Phir wuh un rāhnumā imāmoṅ, Baitul-muqaddas ke pahredāroṅ ke afsaroṅ aur buzurgoṅ se muḳhātib huā jo us ke pās āe the, “Kyā maiṅ ḍākū hūṅ ki tum talwāreṅ aur lāṭhiyāṅ lie mere ḳhilāf nikle ho? 53Maiṅ to rozānā Baitul-muqaddas meṅ tumhāre pās thā, magar tum ne wahāṅ mujhe hāth nahīṅ lagāyā. Lekin ab yih tumhārā waqt hai, wuh waqt jab tārīkī hukūmat kartī hai.”
Patras Īsā ko Jānane se Inkār Kartā Hai
54Phir wuh use giriftār karke imām-e-āzam ke ghar le gae. Patras kuchh fāsile par un ke pīchhe pīchhe wahāṅ pahuṅch gayā. 55Log sahan meṅ āg jalā kar us ke irdgird baiṭh gae. Patras bhī un ke darmiyān baiṭh gayā. 56Kisī naukarānī ne use wahāṅ āg ke pās baiṭhe hue dekhā. Us ne use ghūr kar kahā, “Yih bhī us ke sāth thā.”
57Lekin us ne inkār kiyā, “Ḳhātūn, maiṅ use nahīṅ jāntā.”
58Thoṛī der ke bād kisī ādmī ne use dekhā aur kahā, “Tum bhī un meṅ se ho.”
Lekin Patras ne jawāb diyā, “Nahīṅ bhaī! Maiṅ nahīṅ hūṅ.”
59Taqrīban ek ghanṭā guzar gayā to kisī aur ne isrār karke kahā, “Yih ādmī yaqīnan us ke sāth thā, kyoṅki yih bhī Galīl kā rahne wālā hai.”
60Lekin Patras ne jawāb diyā, “Yār, maiṅ nahīṅ jāntā ki tum kyā kah rahe ho!”
Wuh abhī bāt kar hī rahā thā ki achānak murġh kī bāṅg sunāī dī. 61Ḳhudāwand ne muṛ kar Patras par nazar ḍālī. Phir Patras ko Ḳhudāwand kī wuh bāt yād āī jo us ne us se kahī thī ki “Kal subah murġh ke bāṅg dene se pahle pahle tū tīn bār mujhe jānane se inkār kar chukā hogā.” 62Patras wahāṅ se nikal kar ṭūṭe dil se ḳhūb royā.
Lān-tān aur Piṭāī
63Pahredār Īsā kā mazāq uṛāne aur us kī piṭāī karne lage. 64Unhoṅ ne us kī āṅkhoṅ par paṭṭī bāndh kar pūchhā, “Nabuwwat kar ki kis ne tujhe mārā?” 65Is tarah kī aur bahut-sī bātoṅ se wuh us kī be'izzatī karte rahe.
Yahūdī Adālat-e-Āliyā ke sāmne Peshī
66Jab din chaṛhā to rāhnumā imāmoṅ aur sharīat ke ulamā par mushtamil qaum kī majlis ne jamā ho kar use Yahūdī adālat-e-āliyā meṅ pesh kiyā. 67Unhoṅ ne kahā, “Agar tū Masīh hai to hameṅ batā!”
Īsā ne jawāb diyā, “Agar maiṅ tum ko batāūṅ to tum merī bāt nahīṅ mānoge, 68aur agar tum se pūchhūṅ to tum jawāb nahīṅ doge. 69Lekin ab se Ibn-e-Ādam Allāh T'ālā ke dahne hāth baiṭhā hogā.”
70Sab ne pūchhā, “To phir kyā tū Allāh kā Farzand hai?”
Us ne jawāb diyā, “Jī, tum ḳhud kahte ho.”
71Is par unhoṅ ne kahā, “Ab hameṅ kisī aur gawāhī kī kyā zarūrat rahī? Kyoṅki ham ne yih bāt us ke apne muṅh se sun lī hai.”

Seçili Olanlar:

Lūqā 22: GVR

Vurgu

Paylaş

Kopyala

None

Önemli anlarınızın tüm cihazlarınıza kaydedilmesini mi istiyorsunuz? Kayıt olun ya da giriş yapın