Yúhanná 6
6
1In bátoṉ ke baʻd Yisúʻ Galíl kí jhíl, yaʻní Tibiriyás kí jhíl ke pár gayá. 2Aur baṛí bhíṛ us ke píchhe ho lí, kyúṉki jo muʻjize wuh bímároṉ par kártá thá, un ko wuh dekhte the. 3Yisúʻ paháṛ par chaṛh gayá, aur apne shágirdoṉ ke sáth waháṉ baithá. 4Aur Yahúdíoṉ kí ʻÍd i Fasah nazdík thí. 5Pas jab Yisúʻ ne apní áṉkheṉ uṭhákar dekhá, ki mere pás baṛí bhíṛ á rahí hai, to Filippus se kahá, ki Ham in ke kháne ke liye kaháṉ se roṭiyáṉ mol leṉ? 6Magar us ne us ke ázmáne ke liye yih kahá; kyúṉki wuh áp jántá thá, ki maiṉ kyá karúṉgá. 7Filippus ne use jawáb diyá, ki Do sau dínár kí roṭiyáṉ in ke liye káfí na hoṉgí, ki har ék ko thoṛí bhí mil jáe. 8Us ke shágirdoṉ meṉ se ek ne, yaʻní Shamaʻún Patras ke bháí Andriyás ne, us se kahá; 9Yaháṉ ek laṛká hai, jis ke pás jau kí páṉch roṭiyáṉ, aur do machhliyáṉ haiṉ; magar yih itne logoṉ meṉ kyá haiṉ? 10Yisúʻ ne kahá, ki Logoṉ ko biṭháo. Aur us jagah bahut ghás thí. Pas wuh mard, jo taḳhmínan páṉch hazár the, baiṭh gaye. 11Yisúʻ ne wuh roṭiyáṉ líṉ, aur shukr karke unheṉ jo baiṭhe the báṉṭ díṉ; aur isí tarah machhliyoṉ meṉ se jis qadr cháhte the báṉṭ diyá. 12Jab wuh ser ho chuke, to us ne apne shágirdoṉ se kahá, ki Bache húe ṭukṛoṉ ko jamaʻ karo, táki kuchh záiʻ na ho. 13Chunáṉchi unhoṉ ne jamaʻ kiyá, aur jau kí páṉch roṭiyoṉ ke ṭukṛoṉ se, jo khánewáloṉ se bach rahe the, bárah ṭokriyáṉ bharíṉ. 14Pas jo muʻjiza us ne dikháyá wuh log use dekhkar kahne lage; Jo nabí dunyá meṉ ánewálá thá, fiʼlhaqíqat yihí hai.
15Pas Yisúʻ yih maʻlúm karke, ki wuh ákar mujhe bádsháh banáne ke liye pakṛá cháhte haiṉ, phir paháṛ par akelá chalá gayá.
16Phir jab shám húí, to us ke shágird jhíl ke kanáre gaye; 17aur kishtí par chaṛhkar jhíl ke pár Kafarnahúm ko chale játe the. Us waqt andherá ho gayá thá, aur Yisúʻ abhí tak un ke pás na áyá thá. 18Aur áṉdhí ke sabab jhíl meṉ maujeṉ uṭhne lagíṉ. 19Pas jab wuh kheté khete tín chár míl ke qaríb nikal gaye, to unhoṉ ne Yisúʻ ko jhíl par chalte, aur kishtí ke nazdík áte dekhá, aur ḍar gaye. 20Magar us ne un se kahá, ki Maiṉ húṉ; ḍaro nahíṉ. 21Pas wuh use kishtí par chaṛhá lene ko rází húe, aur fauran wuh kishtí us jagah já pahuṉchí jaháṉ wuh játe the.
22Dúsre din us bhíṛ ne, jo jhíl ke pár khaṛí thí, yih dekhá ki yaháṉ ek ke siwá âur koí chhoṭí kishtí na thí, aur Yisúʻ apne shágirdoṉ ke sáth kishtí par sawár na húá thá, balki sirf us ke shágird chale gaye the; 23(lekin baʻz chhoṭí kishtíáṉ Tibiriyás se us jagah ke nazdík áíṉ, jaháṉ unhoṉ ne Ḳhudáwand ke shukr karne ke baʻd roṭí kháí thí:) 24pas jab bhíṛ ne dekhá, ki yaháṉ na Yisúʻ hai, na us ke shágird, to wuh ḳhud chhoṭí kishtíoṉ par chaṛhkar, Yisúʻ kí talásh meṉ Kafarnahúm ko áe, 25aur jhíl ke pár us se milkar kahá; Ai Rabbí, tú yaháṉ kab áyá? 26Yisúʻ ne un ke jawáb meṉ kahá; Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ Tum mujhe is liye nahíṉ ḍhúṉḍhte ki muʻjize dekhe, balki is liye ki tum roṭiyáṉ khákar ser húe. 27Fání ḳhurak ke liye mihnat na karo, balki us ḳhurák ke liye jo hamesha kí zindagí tak ṭhahrtí hai, jise Ibn i Ádam tumheṉ degá; kyúṉki Báp, yaʻní Ḳhudá ne usí par muhr kí hai. 28Pas unhoṉ ne us se kahá, ki Ham kyá kareṉ, táki Ḳhudá ke kám anjám deṉ? 29Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá; Ḳhudá ká kám yih hai, ki jise us ne bhejá hai, us par ímán láo. 30Pas unhoṉ ne us se kahá; Phir tú kaun sá nishán dikhátá hai, táki ham dekhkar terá yaqín kareṉ? Tú kaun sá kám kartá hai? 31Hamáre bápdádá ne biyábán meṉ mann kháyá; chunáṉchi likhá hai, ki Us ne unheṉ kháne ke liye ásmán se roṭí dí. 32Yisúʻ ne un se kahá; Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Músá ne to wuh roṭí ásmán se tumheṉ na dí, lekin merá Báp tumheṉ ásmán se haqíqí roṭí detá hai. 33Kyúṉki Ḳhudá kí roṭí wuh hai, jo ásmán se utarker dunyá ko zindagí baḳhshtí hai. 34Unhoṉ ne us se kahá; Ai Ḳhudáwand, yih roṭí ham ko hamesha diyá kar. 35Yisúʻ ne un se kahá; Zindagí kí roṭí maiṉ húṉ: jo mere pás áe, wuh hargiz bhúká na hogá, aur jo mujh par ímán láe, wuh kabhí piyásá na hogá. 36Lekin maiṉ ne tum se kahá, ki Tum ne mujhe dekh liyá hai, phir bhí ímán nahíṉ láte. 37Jo kuchh Báp mujhe detá hai mere pás á jáegá; aur jo koí mere pás áegá, use maiṉ hargiz na nikálúṉgá. 38Kyúṉki maiṉ ásmán se utrá húṉ, na is liye ki apní marzí ke muwáfiq ʻamal karúṉ, balki is liye ki apne bhejnewále kí marzí ke muwáfiq ʻamal karúṉ. 39Aur mere bhejnewále kí marzí yih hai, ki jo kuchh us ne mujhe diyá hai, maiṉ us meṉ se kuchh kho na dúṉ, balki use áḳhirí din phir zinda karúṉ. 40Kyúṉki mere Báp kí marzí yih hai, ki jo koí Beṭe ko dekhe, aur us par ímán láe, hamesha kí zindagí páe; aur maiṉ use áḳhirí din phir zinda karúṉ.
41Pas Yahúdí us par buṛbuṛáne lage, is liye ki us ne kahá thá; Jo roṭí ásmán se utrí, wuh maiṉ húṉ. 42Aur unhoṉ ne kahá; Kyá yih Yúsuf ká beṭá Yisúʻ nahíṉ, jis ke báp aur máṉ ko ham jánte haiṉ? ab kyúṉkar kahtá hai, ki Maiṉ ásmán se utrá húṉ? 43Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá, ki Ápas meṉ na buṛbuṛáo. 44Koí mere pás nahíṉ á saktá, jab tak Báp, jis ne mujhe bhejá hai, use kheṉch na le; aur maiṉ use áḳhirí din phir zinda karúṉgá. 45Nabíoṉ ke sahífoṉ meṉ yih likhá hai, ki Wuh sab Ḳhudá kí taraf se taʻlím páe húe hoṉge. Jis kisí ne Báp se suná aur sikhá hai, wuh mere pás átá hai. 46Yih nahíṉ, ki kisí ne Báp ko dekhá hai, magar jo Ḳhudá kí taraf se hai, usí ne Báp ko dekhá hai. 47Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Jo ímán látá hai, hamesha kí zindagí us kí hai. 48Zindagí kí roṭí maiṉ húṉ. 49Tumháre bápdádá ne biyábán meṉ mann kháyá, aur mar gaye. 50Yih wuh roṭí hai jo ásmán se utartí hai, táki ádmí us meṉ se kháe aur na mare. 51Maiṉ húṉ wuh zindagí kí roṭí jo ásmán se utrí: agar koí is roṭí meṉ se kháe, to abad tak zinda rahegá; balki jo roṭí maiṉ jahán kí zindagí ke liye dúṉgá, wuh merá gosht hai.
52Pas Yahúdí yih kahkar ápas meṉ jhagaṛne lage, ki Yih shaḳhs apná gosht hameṉ kyúṉkar kháne ko de saktá hai? 53Yisúʻ ne un se kahá; Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Jab tak tum Ibn i Ádam ká gosht na kháo, aur us ká ḳhún na piyo, tum meṉ zindagí nahíṉ. 54Jo merá gosht khátá, aur merá ḳhún pítá hai, hamesha kí zindagí us kí hai, aur maiṉ use áḳhirí din phir zinda karúṉgá. 55Kyúṉki merá gosht fiʼlhaqíqat kháne kí chíz aur merá ḳhún fiʼlhaqíqat píne kí chíz hai. 56Jo merá gosht khátá aur merá ḳhún pítá hai, wuh mujh meṉ qáim rahtá hai, aur maiṉ us meṉ. 57Jis tarah zinda Báp ne mujhe bhejá, aur maiṉ Báp ke sabab se zinda húṉ; isí tarah wuh bhí jo mujhe kháegá mere sabab se zinda rahegá. 58Jo roṭí ásmán se utrí yihí hai: bápdádá kí tarah nahíṉ ki kháyá, aur mar gaye; jo yih roṭí kháegá, wuh abad tak zinda rahegá. 59Yih báteṉ us ne Kafarnahúm ke ek ʻibádatḳháne meṉ taʻlím dete waqt kahíṉ. 60Is liye us ke shágirdoṉ meṉ se bahutoṉ ne sunkar kahá, ki Yih kalám nágawár hai; use kaun sun saktá hai? 61Yisúʻ ne apne jí meṉ jánkar ki mere shágird ápas meṉ is bát par buṛbuṛáte haiṉ, un se kahá; Kyá tum is bát se ṭhokar kháte ho? 62Agar tum Ibn i Ádam ko úpar játe dekhoge, jaháṉ wuh pahle thá, to kyá hogá? 63Zinda karnewálí to rúh hai; jism se kuchh fáida nahíṉ: jo báteṉ maiṉ ne tum se kahí haiṉ wuh rúh haiṉ, aur zindagí bhí haiṉ. 64Magar tum meṉ se baʻz aise haiṉ jo ímán nahíṉ láe. Kyúṉki Yisúʻ shurúʻ se jántá thá ki jo ímán nahíṉ láte, wuh kaun haiṉ, aur kaun mujhe pakaṛwáegá. 65Phir us ne kahá; Isí liye maiṉ ne tum se kahá thá, ki mere pás koí nahíṉ á saktá, jab tak Báp kí taraf se use yih taufíq na dí jáe.
66Is par us ke shágirdoṉ meṉ se bahutere ulṭe phir gaye, aur is ke baʻd us ke sáth na rahe. 67Pas Yisúʻ ne un bárah se kahá; Kyá tum bhí chalá jáná cháhte ho? 68Shamaʻún Patras ne use jawáb diyá; Ai Ḳhudáwand, kis ke pás jáeṉ? hamesha kí zindagí kí báteṉ to tere hí pás haiṉ. 69Aur ham ímán láe aur ján gaye haiṉ, ki Ḳhudá ká Quddús tú hí hai. 70Yísúʻ ne unheṉ jawáb diyá; Kyá maiṉ ne tum bárah ko nahíṉ chun liyá? aur tum meṉ se ek shaḳhs shaitán hai. 71Us ne yih Shamaʻún Iskariyotí ke beṭe Yahúdáh kí nisbat kahá; kyúṉki yihí, jo un bárah meṉ se thá, use pakaṛwáne ko thá.
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
进一步了解Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)