Lúqá 19

19
1Wuh Yarího meṉ dákhil hokar já rahá thá. 2Aur dekho, Zakkáí nám ek ádmí thá jo mahsúl lenewáloṉ ká sardár aur daulatmand thá. 3Wuh Yisúʻ ke dekhne kí koshish kartá thá, ki kaun sá hai: lekin bhíṛ ek sabab dekh na saktá thá, is liye ki us ká qadd chhoṭá thá. 4Pas use dekhne ke liye áge dauṛkar ek gúlar ke peṛ par chaṛh gayá; kyúṉki wuh usí ráh se jáne ko thá. 5Jab Yisúʻ us jagah pahuṉchá, to úpar nigáh karke us se kahá; Ai Zakkáí, jald utar á; kyúṉki áj mujhe tere ghar rahná zarúr hai. 6Wuh jald utarke us ko ḳhushí se apne ghar le gayá. 7Jab logoṉ ne yih dekhá, to sab buṛbuṛákar kahne lage, ki Wuh to ek gunahgár shaḳhs ke háṉ já utrá. 8Aur Zakkáí ne khaṛe hokar Ḳhudáwand se kahá; Ai Ḳhudáwand, dekh, maiṉ apná ádhá mál garíboṉ ko detá húṉ; aur agar kisí ká kuchh náhaqq le liyá hai, to us ko chauguná adá kartá húṉ. 9Yisúʻ ne us se kahá, ki Áj is ghar meṉ naját áí hai, is liye ki yih bhí Ibráhím ká beṭá hai. 10Kyúṉki Ibn i Ádam khoe húoṉ ko ḍhúṉḍhne aur naját dene áyá hai.
11Jab wuh in bátoṉ ko sun rahe the, to us ne ek tamsíl bhí kahí, is liye ki Yarúshalem ke nazdík thá, aur wuh gumán karte the, ki Ḳhudá kí bádsháhat abhí záhir húá cháhtí hai. 12Pas us ne kahá, ki Ek amír dúr daráz mulk ko chalá, táki bádsháhí hásil karke phir áe. 13Us ne apne naukaroṉ meṉ se das ko bulákar unheṉ das ashrafíáṉ díṉ, aur un se kahá, ki Mere wápas áne tak len den karná. 14Lekin us ke shahr ke ádmí us se ʻadáwat rakhte the, aur us ke píchhe elchíoṉ kí zabání kahlá bhejá, ki Ham nahíṉ cháhte, ki yih ham par bádsháhí kare. 15Jab wuh bádsháhí hásil karke phir áyá, to aisá húá ki un naukaroṉ ko bulá bhejá, jinheṉ rupaya diyá thá, táki maʻlúm kare, ki unhoṉ ne len den se kyá kyá kamáyá. 16Pahle ne házir hokar kahá; Ai ḳhudáwand, terí ashrafí se das ashrafíáṉ paidá húíṉ. 17Us ne us se kahá; Ai achchhe naukar, shábásh! is liye ki tú niháyat thoṛe meṉ diyánatdár niklá, ab tú das shahroṉ par iḳhtiyár rakh. 18Dúsre ne ákar kahá; Ai ḳhudáwand, terí ashrafí se páṉch ashrafíáṉ paidá húíṉ. 19Us ne us se bhí kahá, ki Tú bhí páṉch shahroṉ ká hákim ho. 20Tísre ne ákar kahá; Ai ḳhudáwand, dekh, terí ashrafí yíh hai jis ko maiṉ ne rúmál meṉ báṉdh rakkhá: 21kyúṉki maiṉ tujh se ḍartá thá, is liye ki tú saḳht ádmí hai; jo tú ne nahíṉ rakkhá, use uṭhá letá hai, aur jo tú ne nahíṉ boyá, use káṭtá hai. 22Us ne us se kahá; Ai sharír naukar, maiṉ tujh ko tere hí muṉh se mulzim ṭhahrátá húṉ. Tú mujhe jántá thá ki saḳht ádmí húṉ, aur jo maiṉ ne nahíṉ rakkhá use uṭhá letá, aur jo nahíṉ boyá, use káṭtá húṉ; 23phir tú ne merá rupaya sáhúkár ke háṉ kyúṉ na rakh diyá, táki maiṉ ákar use súd samet le letá? 24Aur us ne un se kahá jo pás khaṛe the, ki Wuh ashrafí us se le lo, aur das ashrafíwále ko de do. 25(Unhoṉ ne us se kahá; Ai ḳhudáwand, us ke pás das ashrafíáṉ to haiṉ.) 26Maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Jis ke pás hai, us ko diyá jáegá; aur jis ke pás nahíṉ, us se wuh bhí le liyá jáegá, jo us ke pás hai. 27Magar mere un dushmanoṉ ko, jinhoṉ ne na cháhá thá ki maiṉ un par bádsháhí karúṉ, yaháṉ lákar mere sámne qatl karo.
28Yih báteṉ kahkar wuh Yarúshalem kí taraf un ke áge áge chalá. 29Jab wuh us paháṛ par jo Zaitún ká kahlátá hai Baitfage aur Baitʻaniyyáh ke nazdík pahuṉchá, to aisá húá ki us ne shágirdoṉ meṉ se do ko yih kahkar bhejá, 30ki Sámne ke gáṉw meṉ jáo, aur us meṉ dáḳhil hote hí ek gadhí ká bachcha bandhá húá milegá, jis par kabhí koí ádmí sawár nahíṉ húá: use khol láo. 31Aur agar koí tum se púchhe, ki Kyúṉ kholte ho? to yúṉ kah dená, ki Ḳhudáwand ko darkár hai. 32Pas jo bheje gaye the, unhoṉ ne jákar, jaisá us ne un se kahá thá, waisá hí páyá. 33Jab gadhí ke bachche ko khol rahe the, to us ke málikoṉ ne un se kahá, ki Is bachche ko kyúṉ kholte ho? 34Unhoṉ ne kahá, ki Ḳhudáwand ko darkár hai. 35Wuh us ko Yisúʻ ke pás le áe, aur apne kapṛe us bachche par ḍálkar Yisúʻ ko sawár kiyá. 36Jab já rahá thá, to wuh apne kapṛe ráh meṉ bichháte játe the. 37Aur jab wuh shahr ke nazdík, Zaitún ke paháṛ ke utár par pahuṉchá, to shágirdoṉ kí sárí jamáʻat un sab muʻjizoṉ ke sabab, jo unhoṉ ne dekhe the, ḳhush hokar baland áwáz se Ḳhudá kí hamd karne lagí, 38ki Mubárak hai wuh bádsháh, jo Ḳhudáwand ke nám par átá hai; ásmán par sulh, aur ʻálam i bálá par jalál! 39Bhíṛ meṉ se baʻz Farísíoṉ ne us se kahá, ki Ai ustád, apne shágirdoṉ ko ḍáṉṭ de. 40Us ne jawáb meṉ kahá; Maiṉ tum se kahtá húṉ, ki agar yih chup raheṉ, to patthar chillá uṭheṉge.
41Jab nazdík ákar shahr ko dekhá, to us par royá, aur kahá; 42Kásh ki tú apne isí din meṉ salámatí kí báteṉ jántá! magar ab wuh terí áṉkhoṉ se chhip gayí haiṉ. 43Kyúṉki wuh din tujh par áeṉge, ki tere dushman tere gird morcha báṉdhkar tujhe gher leṉge, aur har taraf se tang kareṉge, 44aur tujh ko, aur tere bachchoṉ ko jo tujh meṉ haiṉ, zamín par de paṭkeṉge; aur tujh meṉ kisí patthar par patthar báqí na chhoṛeṉge; is liye ki tú ne us waqt ko na pahcháná, jab tujh par nigáh kí gayí.
45Phir wuh haikal meṉ jákar bechnewáloṉ ko nikálne lagá, 46aur un se kahá; Likhá hai, ki Merá ghar duʻá ká ghar hogá; magar tum ne us ko ḍakúoṉ kí khoh baná diyá.
47Aur wuh har roz haikal meṉ taʻlím detá thá. Magar sardár káhin aur faqíh aur qaum ke raís us ke halák karne kí koshish meṉ the. 48Lekin koí tadbír na nikál sake, ki yih kis tarah kareṉ; kyúṉki sab log baṛe shauq se us kí sunte the.

目前选定:

Lúqá 19: URDR55

高亮显示

分享

复制

None

想要在所有设备上保存你的高亮显示吗? 注册或登录