Yúhanná 4
4
1Phir jab Ḳhudáwand ko maʻlúm húá, ki Farísíoṉ ne suná hai, ki Yisúʻ Yúhanná se ziyáda shágird kartá, aur baptisma detá hai; 2(go Yisúʻ áp nahíṉ balki us ke shágird baptisma dete the); 3to wuh Yahúdiya ko chhoṛkar phir Galíl ko chalá gayá. 4Aur us ko Sámariya se hokar jáná zarúr thá. 5Pas wuh Sámariya ke ek shahr taḳ áyá, jo Súḳhár kahlátá hai; wuh us qitʻa ke nazdík hai, jo Yaʻqúb ne apne beṭe Yúsuf ko diyá thá. 6Aur Yaʻqúb ká kúáṉ wahíṉ thá. Chunáṉchi Yisúʻ safar se thaká mánda hokar us kúe par yúṉ hí baiṭh gayá. Yih chhaṭe ghanṭe ke qaríb thá. 7Sámariya kí ek ʻaurat pání bharne áí. Yisúʻ ne us se kahá; Mujhe pání pilá; 8kyúṉki us ke shágird shahr meṉ kháná mol lene ko gaye the. 9Us Sámarí ʻaurat ne us se kahá, ki Tú Yahúdí hokar mujh Sámarí ʻaurat se pání kyúṉ máṉgtá hai? (kyúṉki Yahúdí Sámaríoṉ se kisí tarah ká bartáo nahíṉ rakhte.) 10Yisúʻ ne jawáb meṉ us se kahá; Agar tú Ḳhudá kí baḳhshish ko jántí, aur yih bhí jántí, ki wuh kaun hai, jo tujh se kahtá hai; Mujhe pání pilá, to tú us se máṉgtí, aur wuh tujhe zindagí ká pání detá. 11ʻAurat ne us se kahá; Ai Ḳhudáwand, tere pás pání bharne ko to kuchh hai nahíṉ, aur kúáṉ gahrá hai: phir wuh zindagí ká pání tere pás kaháṉ se áyá? 12Kyá tú hamáre báp Yaʻqúb se baṛá hai, jis ne ham ko yih kúáṉ diyá, aur ḳhud us ne, aur us ke beṭoṉ ne, aur us ke maweshí ne us meṉ se piyá? 13Yisúʻ ne jawáb meṉ us se kahá; Jo koí is pání meṉ se pítá hai, wuh phir piyásá hogá; 14magar jo koí us pání meṉ se píegá jo maiṉ use dúṉgá, wuh abad tak piyásá na hogá; balki jo pání maiṉ use dúṉgá, wuh us meṉ ek chashma ban jáegá, jo hamesha kí zindagí ke liye járí rahegá. 15ʻAurat ne us se kahá; Ai Ḳhudáwand, wuh pání mujh ko de, táki maiṉ na piyásí húṉ, na pání bharne ko yaháṉ tak áúṉ. 16Yisúʻ ne us se kahá; Já, apne shauhar ko yaháṉ bulá lá. 17ʻAurat ne jawáb meṉ us se kahá, ki Maiṉ beshauhar húṉ. Yisúʻ ne us se kahá, ki Tú ne ḳhúb kahá; Maiṉ beshauhar húṉ; 18kyúṉki tú páṉch shauhar kar chukí hai; aur jis ke pás tú ab hai, wuh terá shauhar nahíṉ; yih tú ne sach kahá. 19ʻAurat ne us se kahá; Ai Ḳhudáwand, mujhe maʻlúm hotá hai ki tú nabí hai. 20Hamáre bápdádá ne is paháṛ par parastish kí; aur tum kahte ho, ki wuh jagah jaháṉ parastish karní cháhiye, Yarúshalem meṉ hai. 21Yisúʻ ne us se kahá; Ai ʻaurat, merí bát ká yaqín kar, ki wuh waqt átá hai ki tum na to is paháṛ par Báp kí parastish karoge, aur na Yarúshalem meṉ. 22Tum jise nahíṉ jánte, us kí parastish karte ho; ham jise jánte haiṉ, us kí parastish karte haiṉ; kyúṉki naját Yahúdíoṉ meṉ se hai. 23Magar wuh waqt átá hai, balki ab hí hai, ki sachche parastár Báp kí parastish rúh aur sachcháí se kareṉge, kyúṉki Báp apne liye aise hí parastár ḍhúṉḍhtá hai. 24Ḳhudá rúh hai, aur zarúr hai ki us ke parastár rúh aur sachcháí se parastish kareṉ. 25ʻAurat ne us se kahá; Maiṉ jántí húṉ, ki Masíh, jo Ḳhristus kahlátá hai, ánewálá hai; jab wuh áegá, to hameṉ sab báteṉ batá degá. 26Yísúʻ ne us se kahá; Maiṉ jo tujh se bol rahá húṉ, wuhí húṉ.
27Itne meṉ us ke shágird á gaye, aur taʻajjub karne lage ki wuh ʻaurat se báteṉ kar rahá hai; táham kisí ne na kahá, kí Tú kyá cháhtá hai? yá, Us se kis liye báteṉ kartá hai? 28Pas ʻaurat apná ghaṛá chhoṛkar shahr meṉ chalí gayí, aur logoṉ se kahne lagí; 29Áo, ek ádmí ko dekho, jis ne mere sab kám mujhe batá diye: kyá mumkin hai ki Masíh yihí hai? 30Wuh shahr se nikalkar us ke pás áne lage. 31Itne meṉ us ke shágird us se yih darḳhwást karne lage, ki Ai Rabbí, kuchh khá le. 32Lekin us ne un se kahá; Mére pás kháne ke liye aisá kháná hai jise tum nahíṉ jánte. 33Pas shágirdoṉ ne ápas meṉ kahá; Kyá koí us ke liye kuchh kháne ko láyá hai? 34Yisúʻ ne un se kahá; Merá kháná yih hai, ki apne bhejnewále kí marzí ke muwáfiq ʻamal karúṉ, aur us ká kám púrá karúṉ. 35Kyá tum kahte nahíṉ, ki Fasl ke áne meṉ abhí chár mahíne báqí haiṉ? Dekho, maiṉ tum se kahtá húṉ; apní áṉkheṉ uṭhákar khetoṉ par nazar karo, ki fasl pak gayí hai. 36Aur káṭnewálá mazdúri pátá, aur hamesha kí zindagi ke liye phal jamaʻ kartá hai, táki bonewálá aur káṭnewálá donoṉ milkar ḳhushí kareṉ. 37Kyúṉki is par yih masal ṭhík átí hai, ki Bonewálá âur hai, káṭnewálá âur. 38Maiṉ ne tumheṉ wuh khet káṭne ke liye bhejá, jis par tum ne mihnat nahíṉ kí: auroṉ ne mihnat kí, aur tum un kí mihnat ke phal meṉ sharík húe.
39Aur us shahr ke bahut se Sámarí us ʻaurat ke kahne se, jis ne gawáhí dí, ki Us ne mere sab kám mujhe batá diye, us par ímán láe. 40Pas jab wuh Sámarí us ke pás áe, to us se darḳhwást karne lage, ki Hamáre pás rah: chunáṉchi wuh do roz waháṉ rahá. 41Aur us ke kalám ke sabab âur bhí bahutere ímán láe; 42aur us ʻaurat se kahá; Ab ham tere kahne hí se ímán nahíṉ láte; kyúṉki ham ne ḳhud sun liyá, aur jánte haiṉ ki yih fiʼilhaqíqat dunyá ká Munjí hai.
43Phir un do dinoṉ ke baʻd wuh waháṉ se rawána hokar Galíl ko gayá. 44Kyúṉki Yisúʻ ne ḳhud gawáhí dí, ki Nabí apne watan meṉ ʻizzat nahíṉ pátá. 45Pas jab wuh Galíl meṉ áyá, to Galílíoṉ ne use qubúl kiyá, is liye ki jitne kám us ne Yarúshalem meṉ ʻíd ke waqt kiye the, unhoṉ ne un ko dekhá thá; kyúṉki wuh bhí ʻíd meṉ gaye the.
46Pas wuh phir Qáná e Galíl meṉ áyá, jaháṉ us ne pání ko mai banáyá thá. Aur bádsháh ká ek mulázim thá, jis ká beṭá Kafarnahúm meṉ bímár thá. 47Wuh yih sunkar ki Yisúʻ Yahúdiya se Galíl meṉ á gayá hai, us ke pás gayá, aur us se darḳhwást karne lagá, ki Chalkar mere beṭe ko shifá baḳhsh: kyúṉki wuh marne ko thá. 48Yisúʻ ne us se kahá; Jab tak tum nishán aur ʻajíb kám na dekho, hargiz ímán na láoge. 49Bádsháh ke mulázim ne us se kahá; Ai Ḳhudáwand, mere bachche ke marne se pahle chal. 50Yisúʻ ne us se kahá; Já, terá beṭá jítá hai. Us shaḳhs ne us bát ká yaqín kiyá jo Yisúʻ ne us se kahí, aur chalá gayá. 51Wuh ráste hí meṉ thá, ki us ke naukar use mile aur kahne lage, ki Terá laṛká jítá hai. 52Us ne un se púchhá, ki Use kis waqt se árám hone lagá thá? Unhoṉ ne kahá, ki Kal sátweṉ ghanṭe meṉ us kí tap utar gayí. 53Pas báp ján gayá, ki wuhí waqt thá jab Yisúʻ ne us se kahá thá, ki Terá beṭá jitá hai. Aur wuh ḳhud aur us ká sárá gharáná ímán láyá. 54Yih dúsrá muʻjiza hai, jo Yisúʻ ne Yahúdiya se Galíl meṉ ákar dikháyá.
Dewis Presennol:
Yúhanná 4: URDR55
Uwcholeuo
Rhanna
Copi
Eisiau i'th uchafbwyntiau gael eu cadw ar draws dy holl ddyfeisiau? Cofrestra neu mewngofnoda
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Dysgu mwy am Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)