Yúhanná 5
5
1In bátoṉ ke baʻd Yahúdíoṉ kí ek ʻíd húí, aur Yisúʻ Yarúshalem ko gayá.
2Yarúshalem meṉ bheṛ darwáze ke pás ek hauz hai, jo ʻIbrání meṉ Bait Hasdá kahlátá hai; aur us ke páṉch barámade haiṉ. 3In meṉ bahut se bímár, aur andhe, aur laṉgṛe, aur pazhmurda log [pání ke hilne ke muntazir hokar] paṛe the. [4Kyúṉki waqt par Ḳhudáwand ká firishta hauz par utarkar pání hiláyá kartá thá: pání hilte hí jo koí pahle utartá so shifá pátá, us kí jo kuchh bimárí kyúṉ na ho.] 5Waháṉ ek shaḳhs thá, jo aṭhtís baras se bímárí meṉ mubtalá thá. 6Is ko Yisúʻ ne paṛá húá dekhá, aur yih jánkar ki wuh baṛí muddat se is hálat meṉ hai, us se kahá; Kyá tú tandurust honá cháhtá hai? 7Us bímár ne use jawáb diyá; Ai Ḳhudáwand, mere pás koí ádmí nahíṉ, ki jab pání hiláyá jáe, to mujhe hauz meṉ utár de; balki mere pahuṉchte pahuṉchte dúsrá mujh se pahle utar paṛtá hai. 8Yisúʻ ne us se kahá; Uṭh, aur apní chárpáí uṭhákar chal phir. 9Wuh shaḳhs fauran tandurust ho gayá, aur apní chárpáí uṭhákar chalne phirne lagá.
Wuh din Sabt ká thá. 10Pas Yahúdí us se, jis ne shifá páí thí, kahne lage, ki Áj Sabt ká din hai; tujhe chárpáí uṭhání rawá nahíṉ. 11Us ne unheṉ jawáb diyá; Jis ne mujhe tandurust kiyá, usí ne mujhe farmáyá, ki Apní chárpáí uṭhákar chal phir. 12Unhoṉ ne us se púchhá, ki Wuh kann shaḳhs hai jis ne tujh se kahá; Chárpáí uṭhákar chal phir? 13Lekin jo shifá pá gayá thá, wuh na jántá thá ki kaun hai; kyúṉki bhíṛ ke sabab Yisúʻ waháṉ se ṭal gayá thá. 14In bátoṉ ke baʻd wuh Yisúʻ ko haikal meṉ milá. Us ne us se kahá; Dekh, tú tandurust ho gayá hai; phir gunáh na karná, aisá na ho ki tujh par is se bhí ziyáda áfat áe. 15Us ádmí ne jákar Yahúdíoṉ ko ḳhabar dí, ki Jis ne mujhe tandurust kiyá, wuh Yisúʻ hai. 16Is liye Yahúdí Yisúʻ ko satáne lage, kyúṉki wuh aise kám Sabt ke din kartá thá. 17Lekin Yisúʻ ne un se kahá, ki Merá Báp ab tak kám kartá hai, aur maiṉ bhí kám kartá húṉ. 18Is sabab se Yahúdí âur bhí ziyáda us ke qatl karne kí koshish karne lage, ki wuh na faqat Sabt ká hukm toṛtá, balki Ḳhudá ko ḳháss apná Báp kahkar apne áp ko Ḳhudá ke barábar banátá thá.
19Pas Yisúʻ ne un se kahá;
Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Beṭá áp se kuchh nahíṉ kar saktá, siwá us ke jo Báp ko karte dekhtá hai; kyúṉki jin kámoṉ ko wuh kartá hai, unheṉ Beṭá bhí usí tarah kartá hai. 20Is liye ki Báp Beṭe ko ʻazíz rakhtá hai, aur jitne kám ḳhud kartá hai, use dikhátá hai; balki in se bhí baṛe kám use díkháegá, táki tum taʻajjub karo. 21Kyúṉki jis tarah Báp murdoṉ ko uṭhátá aur zinda kartá hai, usí tarah Beṭá bhí jinheṉ cháhtá hai zinda kartá hai. 22Kyúṉki Báp kisí kí ʻadálat bhí nahíṉ kartá, balki us ne ʻadálat ká sárá kám Beṭe ke supurd kiyá hai, 23táki sab log Beṭe kí ʻizzat kareṉ, jis tarah Báp kí ʻizzat karte haiṉ. Jo Beṭe kí ʻizzat nahíṉ kartá, wuh Báp kí, jis ne use bhejá, ʻizzat nahíṉ kartá. 24Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Jo merá kalám suntá, aur mere bhejnewále ká yaqín kartá hai, hamesha kí zindagí us kí hai, aur us par sazá ká hukm nahíṉ hotá, balki wuh maut se nikalkar zindagí meṉ dáḳhil ho gayá hai. 25Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Wuh waqt átá hai, balki abhí hai, ki murde Ḳhudá ke Beṭe kí áwáz suneṉge, âur jo suneṉge wuh jíeṉge. 26Kyúṉki jis tarah Báp apne áp meṉ zindagí rakhtá hai, usí tarah us ne Beṭe ko bhí yih baḳhshá, ki apne áp meṉ zindagí rakkhe; 27balki use ʻadá-lat karne ká bhí iḳhtiyár baḳhshá, is liye ki wuh ádamzád hai. 28Is se taʻajjub na karo, kyúṉki wuh waqt átá hai, ki jitne qabroṉ meṉ haiṉ us kí áwáz sunkar nikleṉge; 29jinhoṉ ne nekí kí hai, zindagí kí qiyámat ke wáste, aur jinhoṉ ne badí kí hai, sazá kí qiyámat ke wáste.
30Maiṉ apne áp se kuchh nahíṉ kar saktá: jaisá suntá húṉ, ʻadálat kartá húṉ, aur merí ʻadálat rást hai; kyúṉki maiṉ apní marzí nahíṉ, balki apne bhejnewále kí marzí cháhtá húṉ. 31Agar maiṉ ḳhud apní gawáhí dúṉ, to merí gawáhí sachchí nahíṉ. 32Ek âur hai jo merí gawáhí detá hai, aur maiṉ jántá húṉ ki merí gawáhí jo wuh detá hai sachchí hai. 33Tum ne Yúhanná ke pás payám bhejá, aur us ne sachchái kí gawáhí dí hai. 34Lekin maiṉ apní nisbat insán ki gawáhí manzúr nahíṉ kartá: taubhí maiṉ yih báteṉ is liye kahtá húṉ ki tum naját páo. 35Wuh jaltá aur chamaktá húá chirág thá; aur tum ko kuchh ʻarse tak us kí raushní meṉ ḳhush rahná manzúr húá. 36Lekin mere pás jo gawáhí hai, wuh Yúhanná kí gawahí se baṛí hai: kyúṉki jo kám Báp ne mujhe púre karne ko diye, yaʻní yihí kám jo maiṉ kartá húṉ, wuh mere gawáh haiṉ ki Báp ne mujhe bhejá hai. 37Aur Báp jis ne mujhe bhejá hai, usí ne merí gawáhí dí hai. Tum ne na kabhí us kí áwáz suní hai, aur na us kí súrat dekhí; 38aur us ke kalám ko apne diloṉ meṉ qáim nahíṉ rakhte; kyúṉki jise us ne bhejá hai, us ká yaqín nahíṉ karte. 39Tum kitáb i muqaddas meṉ ḍhúṉḍhte ho; kyúṉki samajhte ho ki us meṉ hamesha kí zindagí tumheṉ miltí hai; aur yih wuh hai, jo merí gawáhí deti hai; 40phir bhí tum zindagí páne ke liye mere pás áná nahíṉ cháhte. 41Maiṉ ádmíoṉ se ʻizzat nahíṉ cháhtá. 42Lekin maiṉ tum ko jántá húṉ, ki tum meṉ Ḳhudá kí mahabbat nahíṉ. 43Maiṉ apne Báp ke nám se áyá húṉ, aur tum mujhe qubúl nahíṉ karte; agar koí âur apne hí nám se áe, to use qubúl kar loge. 44Tum jo ek dúsre se ʻizzat cháhte ho, aur wuh ʻizzat jo Ḳhudá e Wáhid kí taraf se hotí hai nahíṉ cháhte, kyúṉkar ímán lá sakte ho? 45Yih na samjho ki maiṉ Báp se tumhárí shikáyat karúṉgá: tumhárí shikáyat karnewálá to hai, yaʻní Músá, jis par tum ne ummed lagá rakkhí hai. 46Kyúṉki agar tum Músá ká yaqín karte, to merá bhí yaqín karte, is liye ki us ne mere haqq meṉ likhá hai. 47Lekin jab tum us ke nawishtoṉ ká yaqín nahíṉ karte, to merí bátoṉ ká kyúṉkar yaqín karoge?
Dewis Presennol:
Yúhanná 5: URDR55
Uwcholeuo
Rhanna
Copi
Eisiau i'th uchafbwyntiau gael eu cadw ar draws dy holl ddyfeisiau? Cofrestra neu mewngofnoda
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Dysgu mwy am Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)