1
Paidáish 2:24
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Is wáste mard apne máṉ báp ko chhoṛegá, aur apní bíwí se milá rahegá: aur wuh ek tan hoṉge.
Lee anya n'etiti ihe abụọ
Nyochaa Paidáish 2:24
2
Paidáish 2:18
Aur ḲHUDáWAND Ḳhudá ne kahá, ki Ádam ká akelá rahná achchhá nahíṉ; maiṉ us ke liye ek madadgár us kí mánind banáúṉgá.
Nyochaa Paidáish 2:18
3
Paidáish 2:7
Aur ḲHUDáWAND Ḳhudá ne zamín kí miṭṭí se insán ko banáyá, aur us ke nathnoṉ meṉ zindagí ká dam phúṉká; to insán jítí ján húá.
Nyochaa Paidáish 2:7
4
Paidáish 2:23
Aur Ádam ne kahá, ki Yih to ab merí haḍḍiyoṉ meṉ se haḍḍí, aur mere gosht meṉ se gosht hai: is liye wuh Nárí kahláegí, kyúṉki wuh Nar se nikálí gayí.
Nyochaa Paidáish 2:23
5
Paidáish 2:3
Aur Ḳhudá ne sátweṉ din ko barakat dí, aur use muqaddas ṭhahráyá; kyúṉki us meṉ Ḳhudá sárí káinát se jise us ne paidá kiyá aur banáyá fárig̣ húá.
Nyochaa Paidáish 2:3
6
Paidáish 2:25
Aur Ádam aur us kí bíwí, donoṉ nange the, aur sharmáte na the.
Nyochaa Paidáish 2:25
Ebe Mmepe Nke Mbụ Nke Ngwá
Akwụkwọ Nsọ
Atụmatụ Ihe Ogụgụ Gasị
Vidiyo Gasị