1
Yúhanná 2:11
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Yih pahlá muʻjiza Yisúʻ ne Qáná e Galíl meṉ dikhákar apná jalal záhir kiyá, aur us ke shágird us par ímán láe.
Lee anya n'etiti ihe abụọ
Nyochaa Yúhanná 2:11
2
Yúhanná 2:4
Yisúʻ ne us se kahá; Ai ʻaurat, mujhe tujh se kyá kám hai? Abhí merá waqt nahíṉ áyá.
Nyochaa Yúhanná 2:4
3
Yúhanná 2:7-8
Yisúʻ ne un se kahá; Maṭkoṉ meṉ pání bhar do. Pas unhoṉ ne un ko lab á lab bhar diyá. Phir us ne un se kahá, ki Ab nikálkar mír majlis ke pás le jáo. Pas wuh le gaye.
Nyochaa Yúhanná 2:7-8
4
Yúhanná 2:19
Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá, ki Is maqdis ko ḍhá do, to maiṉ use tín din meṉ khaṛá kar dúṉgá.
Nyochaa Yúhanná 2:19
5
Yúhanná 2:15-16
aur rassiyoṉ ká koṛá banákar sab ko, yaʻní bheṛoṉ aur bailoṉ ko, haikal se nikál diyá, aur sarráfoṉ ke paise bikher diye, aur taḳhte ulaṭ diye; aur kabútar faroshoṉ se kahá; In ko yaháṉ se le jáo: mere Báp ke ghar ko tijárat ká ghar na banáo.
Nyochaa Yúhanná 2:15-16
Ebe Mmepe Nke Mbụ Nke Ngwá
Akwụkwọ Nsọ
Atụmatụ Ihe Ogụgụ Gasị
Vidiyo Gasị