1
Lúqá 15:20
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Pas wuh uṭhkar apne báp ke pás chalá. Wuh abhí dúr hí thá, ki use dekhkar us ke báp ko tars áyá, aur dauṛkar us ko gale lagá liyá, aur bose liye.
Lee anya n'etiti ihe abụọ
Nyochaa Lúqá 15:20
2
Lúqá 15:24
kyúṉki merá yih beṭá murda thá, ab zinda húá; khoyá húá thá, ab milá hai. Pas wuh ḳhushí manáne lage.
Nyochaa Lúqá 15:24
3
Lúqá 15:7
Maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Isí tarah ninnánawe rástbázoṉ kí nisbat, jo tauba kí hájat nahíṉ rakhte, ek tauba karnewále gunahgár kí bábat ásmán par ziyáda ḳhushí hogí.
Nyochaa Lúqá 15:7
4
Lúqá 15:18
Maiṉ uṭhkar apne báp ke pás jáúṉgá, aur us se kahúṉgá, ki Ai báp, maiṉ ásmán ká aur terí nazar meṉ gunahgár húá
Nyochaa Lúqá 15:18
5
Lúqá 15:21
Beṭe ne us se kahá, ki Ai báp, maiṉ ásmán ká aur terí nazar meṉ gunahgár húá; ab is láiq nahíṉ rahá, ki phir terá beṭá kahláúṉ.
Nyochaa Lúqá 15:21
6
Lúqá 15:4
Tum meṉ aisá kaun ádmí hai, jis ke pás sau bheṛeṉ hoṉ, aur un meṉ se ek khoí jáe, to ninnánawe ko biyábán meṉ chhoṛkar us khoí húí ko, jab tak mil na jáe, ḍhúṉḍhtá na rahe?
Nyochaa Lúqá 15:4
Ebe Mmepe Nke Mbụ Nke Ngwá
Akwụkwọ Nsọ
Atụmatụ Ihe Ogụgụ Gasị
Vidiyo Gasị