1
Paidāish 4:7
Kitab-i Muqaddas
Kyā agar tū achchhī nīyat rakhtā hai to apnī nazar uṭhā kar merī taraf nahīṅ dekh sakegā? Lekin agar achchhī nīyat nahīṅ rakhtā to ḳhabardār! Gunāh darwāze par dabkā baiṭhā hai aur tujhe chāhtā hai. Lekin terā farz hai ki us par ġhālib āe.”
Lee anya n'etiti ihe abụọ
Nyochaa Paidāish 4:7
2
Paidāish 4:26
Set ke hāṅ bhī beṭā paidā huā. Us ne us kā nām Anūs rakhā. Un dinoṅ meṅ log Rab kā nām le kar ibādat karne lage.
Nyochaa Paidāish 4:26
3
Paidāish 4:9
Tab Rab ne Qābīl se pūchhā, “Terā bhāī Hābīl kahāṅ hai?” Qābīl ne jawāb diyā, “Mujhe kyā patā! Kyā apne bhāī kī dekh-bhāl karnā merī zimmedārī hai?”
Nyochaa Paidāish 4:9
4
Paidāish 4:10
Rab ne kahā, “Tū ne kyā kiyā hai? Tere bhāī kā ḳhūn zamīn meṅ se pukār kar mujh se fariyād kar rahā hai.
Nyochaa Paidāish 4:10
5
Paidāish 4:15
Lekin Rab ne us se kahā, “Hargiz nahīṅ. Jo Qābīl ko qatl kare us se sāt gunā badlā liyā jāegā.” Phir Rab ne us par ek nishān lagāyā tāki jo bhī Qābīl ko dekhe wuh use qatl na kar de.
Nyochaa Paidāish 4:15
Ebe Mmepe Nke Mbụ Nke Ngwá
Akwụkwọ Nsọ
Atụmatụ Ihe Ogụgụ Gasị
Vidiyo Gasị