Akara Njirimara YouVersion
Akara Eji Eme Ọchịchọ

Yúhanná 3

3
1Farísíoṉ meṉ se ek shaḳhs Níkudemus nám Yahúdíoṉ ká ek sardár thá: 2us ne rát ko Yisúʻ ke pás ákar us se kahá; Ai Rabbí, ham jánte haiṉ ki tú Ḳhudá kí taraf se ustád hokar áyá hai; kyúṉki jo muʻjize tú dikhátá hai, koí shaḳhs nahíṉ dikhá saktá, jab tak Ḳhudá us ke sáth na ho. 3Yisúʻ ne jawáb meṉ us se kahá; Maiṉ tujh se sach sach kahtá húṉ, ki jab tak koí naye sire se paidá na ho, wuh Ḳhudá kí bádsháhat ko dekh nahíṉ saktá. 4Níkudemus ne us se kahá; Ádmí jab búṛhá ho gayá, to kyúṉkar paidá ho saktá hai? kyá wuh dobára apní máṉ ke peṭ meṉ dáḳhil hokar paidá ho saktá hai? 5Yisúʻ ne jawáb diyá, ki Maiṉ tujh se sach sach kahtá húṉ; Jab tak koí ádmí pání aur Rúh se paidá na ho, wuh Ḳhudá kí bádsháhat meṉ dáḳhil nahíṉ ho saktá. 6Jo jism se paidá húá hai, jism hai, aur jo Rúh se paidá húá hai, rúh hai. 7Taʻajjub na kar, ki maiṉ ne tujh se kahá; Tumheṉ naye sire se paidá honá zarúr hai. 8Hawá jidhar cháhtí hai chaltí hai, aur tú us kí áwáz suntá hai, magar nahíṉ jántá, ki wuh kaháṉ se átí, aur kaháṉ ko játi hai: jo koí Rúh se paidá húá aisá hí hai. 9Níkudemus ne jawáb meṉ us se kahá; Yih báteṉ kyúṉkar ho saktí haiṉ? 10Yisúʻ ne jawáb meṉ us se kahá; Baní Isráíl ká ustád hokar kyá tú in bátoṉ ko nahíṉ jántá? 11Maiṉ tujh se sach sach kahtá húṉ, ki Jo ham jánte haiṉ, wuh kahte haiṉ, aur jise ham ne dekhá hai, us kí gawáhí dete haiṉ; aur tum hamárí gawáhí qubúl nahíṉ karte. 12Jab maiṉ ne tum se zamín kí báteṉ kahíṉ, aur tum ne yaqín nahíṉ kiyá, to agar maiṉ tum se ásmán kí báteṉ kahúṉ, to kyúṉkar yaqín karoge? 13Aur ásmán par koí nahiṉ chaṛhá, siwá us ke jo ásmán se utrá, yaʻní Ibn i Ádam, jo ásmán meṉ hai. 14Aur jis tarah Músá ne sáṉp ko biyábán meṉ úṉche par chaṛháyá, usí tarah zarúr hai ki Ibn i Ádam bhí úṉche par chaṛháyá jáe; 15táki jo koí ímán láe, us meṉ hamesha kí zindagi páe.
16Kyúṉki Ḳhudá ne dunyá se aisí mahabbat rakkhí, ki us ne apná iklautá Beṭá baḳhsh diyá, táki jo koí us par ímán láe halák na ho, balki hamesha kí zindagi páe. 17Kyúṉki Ḳhudá ne Beṭe ko dunyá meṉ is liye nahíṉ bhejá, ki dunyá par sazá ká hukm kare, balki is liye ki dunyá us ke wasíle se naját páe. 18Jo us par ímán látá hai, us par sazá ká hukm nahíṉ hotá; jo us par ímán nahíṉ látá, us par sazá ká hukm ho chuká; is liye ki wuh Ḳhudá ke iklaute Beṭe ke nám par ímán nahíṉ láyá. 19Aur sazá ke hukm ká sabab yih hai, ki núr dunyá meṉ áyá hai, aur ádmíoṉ ne táríkí ko núr se ziyáda pasand kiyá, is liye ki un ke kám bure the. 20Kyúṉki jo koí badi kartá hai, wuh núr se dushmaní rakhtá hai, aur núr ke pás nahíṉ átá, aisá na ho ki us ke kámoṉ par malámat kí jáe. 21Magar jo sachcháí par ʻamal kartá hai, wuh núr ke pás átá hai, táki us ke kám záhir hoṉ, ki wuh Ḳhudá meṉ kiye gaye haiṉ.
22In bátoṉ ke baʻd Yisúʻ aur us ke shágird Yahúdiya ke mulk meṉ áe; aur wuh waháṉ un ke sáth rahkar baptisma dene lagá. 23Aur Yúhanná bhí Shálem ke nazdík ʻAinon meṉ baptisma detá thá, kyúṉki waháṉ pání bahut thá, aur log ákar baptisma lete the; 24kyúṉki Yúhanná us waqt tak qaidḳháne meṉ ḍálá na gayá thá. 25Pas Yúhanná ke shágirdoṉ kí kisí Yahúdí ke sáth tahárat kí bábat bahs húí. 26Unhoṉ ne Yúhanná ke pás ákar kahá; Ai Rabbí, jo shaḳhs Yardan ke pár tere sáth thá, jis kí tú ne gawáhí dí hai, dekh, wuh baptisma detá hai, aur sab us ke pás áte haiṉ. 27Yúhanná ne jawáb meṉ kahá; Insán kuchh nahíṉ pá saktá, jab tak us ko ásmán se na diyá jáe. 28Tum ḳhud mere gawáh ho, ki maiṉ ne kahá; Maiṉ Masíh nahíṉ, magar us ke áge bhejá gayá húṉ. 29Jis kí dulhan hai, wuh dulhá hai; magar dulhá ká dost jo khaṛá húá us kí suntá hai, dulhá kí áwáz se bahut ḳhush hotá hai: pas merí yih ḳhushí púrí ho gayí. 30Zarúr hai ki wuh baṛhe, aur maiṉ ghaṭúṉ.
31Jo úpar se átá hai, wuh sab se úpar hai: jo zamín se hai, wuh zamín hí se hai, aur zamín hí kí kahtá hai: jo ásmán se átá hai, wuh sab se úpar hai. 32Jo kuchh us ne dekhá aur suná, usí kí gawáhí detá hai, aur koí us kí gawáhí qubúl nahín kartá. 33Jis ne us kí gawáhí qubúl kí, us ne is bát par muhr kar dí, ki Ḳhudá sachchá hai. 34Kyúṉki jise Ḳhudá ne bhejá, wuh Ḳhudá kí báteṉ kahtá hai: is liye ki wuh Rúh náp nápkar nahíṉ detá. 35Báp Beṭe se mahabbat rakhtá hai, aur us ne sab chízeṉ us ke háth meṉ de dí haiṉ. 36Jo Beṭe par ímán látá hai, hamesha kí zindagi us kí hai; lekin jo Beṭe kí nahíṉ mántá, zindagi ko na dekhegá, balki us par Ḳhudá ká gazab rahtá hai.

Nke Ahọpụtara Ugbu A:

Yúhanná 3: URDR55

Mee ka ọ bụrụ isi

Kesaa

Mapịa

None

Ịchọrọ ka echekwaara gị ihe ndị gasị ị mere ka ha pụta ìhè ná ngwaọrụ gị niile? Debanye aha gị ma ọ bụ mee mbanye