Paidáish 10
10
1Núh ke beṭoṉ, Sim, Hám, aur Yáfat kí aulád yih haiṉ. Túfán ke ba‘d un ke háṉ beṭe paidá húe.
2Baní Yáfat yih haiṉ; Jumar, aur Májúj, aur Mádí, aur Yáwán, aur Túbal, aur Masak, aur Tírás. 3Aur Jumar ke beṭe; Ashkanáz, aur Rífat, aur Tujarmah. 4Aur Yáwán ke beṭe; Ilísah, aur Tarsís, Kittí, aur Dodání. 5Qaumoṉ ke jazíre in hí kí nasl meṉ baṭkar, har ek kí zabán aur qabíle ke mutábiq muḳhtalif mulk aur guroh ho gaye.
6Aur baní Hám yih haiṉ: Kúsh, aur Misr, aur Fút, aur Kan‘án. 7Aur baní Kúsh yih haiṉ: Sabá, aur Hawílah, aur Sabtah, aur Ra‘máh, aur Sabtíka: aur baní Ra‘máh yih haiṉ; Sabá, aur Dadán. 8Aur Kúsh se Namrúd paidá húá; wuh rú e zamín par ek súrmá húá hai. 9Ḳhudáwand ke sámne wuh ek shikárí súrmá húá hai, is liye yih masal chalí, ki Ḳhudáwand ke sámne Namrúd sá shikárí súrmá. 10Aur us kí bádsháhí kí ibtidá mulk i Sin‘ár meṉ Bábul, aur Arak, aur Akkád, aur Kalnah se húí. 11Usí mulk se nikalkar wuh Asúr meṉ áyá aur Nínawah, aur Rahobot ‘Er, aur Kalah ko, 12aur Nínawah aur Kalah ke darmiyán Rasan ko, jo baṛá shahr hai, banáyá. 13Aur Misr se Lúdí, aur ‘Anámí, aur Lihábí, aur Naftúhí, 14aur Fatrúsi, aur Kaslúhí, (jin se Filistí nikle,) aur Kaftúrí, paidá húe.
15Aur Kan‘án se Saidá, jo us ká pahlauṭhá thá, aur Hitt, 16aur Yabúsí, aur Amorí, aur Jirjáshí, 17aur Hawwí, aur ‘Arqí, aur Síní, 18aur Arwádí, aur Samárí, aur Hamátí paidá húe: aur ba‘d meṉ Kan‘ání qabíle phail gaye. 19Aur Kan‘áníoṉ kí hadd yih hai: Saidá se G̣azzah tak jo Jirár ke ráste par hai, phir waháṉ se Lasa‘ tak, jo Sadúm aur ‘Amúrah aur Adamah aur Zibíán kí ráh par hai. 20So baní Hám yih haiṉ, jo apne apne mulkoṉ aur gurohoṉ meṉ apne apne qabíloṉ aur zabánoṉ ke mutábiq, ábád haiṉ.
21Aur Sim ke háṉ bhí, jo tamám baní ‘Ibr ká báp aur Yáfat ká baṛá bháí thá, aulád húí. 22Baní Sim yih haiṉ: ‘Ailám, aur Asúr, aur Arfaksad, aur Lúd, aur Arám. 23Aur baní Arám yih haiṉ: ‘Úz, aur Húl, aur Jatar, aur Mas. 24Aur Arfaksad se Silah paidá húá; aur Silah se ‘Ibr. 25Aur ‘Ibr ke háṉ do beṭe paidá húe; ek ká nám Falaj thá; kyúṉki zamín us ke aiyám meṉ baṭí; aur us ke bháí ká nám Yuqtán thá. 26Aur Yuqtán se Almúdád, aur Salaf, aur Hasármáwat, aur Iráḳh, 27aur Hadúrám, aur Úzál, aur Diqlah, 28aur ‘Ubal, aur Abímáel, aur Sibá, 29aur Ofír, aur Hawílah, aur Yúbáb, paidá húe: yih sab baní Yuqtán the. 30Aur in kí ábádí Mesá se mashriq ke ek paháṛ Safár kí taraf thí. 31So baní Sim yih haiṉ, jo apne apne mulkoṉ aur gurohoṉ meṉ apne apne qabíloṉ aur zabánoṉ ke mutábiq, ábád haiṉ.
32Núh ke beṭoṉ ke ḳhándán un ke gurohoṉ aur nasloṉ ke i‘tibár se yihí haiṉ; aur túfán ke ba‘d jo qaumeṉ zamín par já ba já munqasam húíṉ, wuh in hí meṉ se thíṉ.
Voafantina amin'izao fotoana izao:
Paidáish 10: URDR55
Asongadina
Hizara
Dika mitovy
Tianao hovoatahiry amin'ireo fitaovana ampiasainao rehetra ve ireo nasongadina? Hisoratra na Hiditra
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Hahafantatra misimisy kokoa momba ny Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)