Kisary famantarana ny YouVersion
Kisary fikarohana

Paidáish 17

17
1Jab Abrám ninánawe baras ká húá, tab Ḳhudáwand Abrám ko nazar áyá, aur us se kahá, ki Maiṉ Ḳhudá e Qádir húṉ; tú mere huzúr meṉ chal, aur kámil ho. 2Aur maiṉ apne aur tere darmiyán ‘ahd báṉdhúṉgá, aur tujhe bahut ziyáda baṛháúṉgá. 3Tab Abrám sarnigún ho gayá, aur Ḳhudá ne us se hamkalám hokar farmáyá, 4ki Dekh, merá ‘ahd tere sáth hai; aur tú bahut qaumoṉ ká báp hogá. 5Aur terá nám phir Abrám nahíṉ kahláegá, balki terá nám Abrahám hogá; kyúṉki maiṉ ne tujhe bahut qaumoṉ ká báp ṭhahrá diyá hai. 6Aur maiṉ tujhe bahut baromand karúṉgá, aur qaumeṉ terí nasl se hoṉgí, aur bádsháh terí aulád meṉ se barpá hoṉge. 7Aur maiṉ apne aur tere darmiyán, aur tere ba‘d terí nasl ke darmiyán un kí sab pushtoṉ ke liye, apná ‘ahd, jo abadí ‘ahd hogá, báṉdhúṉgá, táki maiṉ terá aur tere ba‘d terí nasl ká Ḳhudá rahúṉ. 8Aur maiṉ tujh ko, aur tere ba‘d terí nasl ko, Kan‘án ká tamám mulk, jis meṉ tú pardesí hai aisá dúṉgá, ki wuh dáimí milkíyat ho jáe; aur maiṉ un ká Ḳhudá húṉgá. 9Phir Ḳhudá ne Abrahám se kahá, ki Tú mere ‘ahd ko mánná, aur tere ba‘d terí nasl pusht dar pusht use máne. 10Aur merá ‘ahd, jo mere aur tere darmiyán, aur tere ba‘d terí nasl ke darmiyán hai, aur jise tum mánoge, so yih hai, ki tum meṉ se har ek farzand i narína ká ḳhatna kiyá jáe. 11Aur tum apne badan kí khalṛí ká ḳhatna kiyá karná; aur yih us ‘ahd ká nishán hogá, jo mere aur tumháre darmiyán hai. 12Tumháre háṉ pusht dar pusht har laṛke ká ḳhatna, jab wuh áṭh roz ká ho, kiyá jáe, ḳhwáh wuh ghar meṉ paidá ho, ḳhwáh use kisí pardesí se ḳharídá ho, jo terí nasl se nahíṉ. 13Lázim hai, ki tere ḳhánazád aur tere zarḳharíd ká ḳhatna kiyá jáe, aur merá ‘ahd tumháre jism meṉ abadí ‘ahd hogá. 14Aur wuh farzand i narína, jis ká ḳhatna na húá ho, apne logoṉ meṉ se káṭ ḍálá jáe, kyúṉki us ne merá ‘ahd toṛá.
15Aur Ḳhudá ne Abrahám se kahá, ki Sáraí jo terí bíwí hai, so us ko Sáraí na pukárná; us ká nám Sárah hogá. 16Aur maiṉ use barakat dúṉgá, aur us se bhí tujhe ek beṭá baḳhshúṉgá; yaqínan maiṉ use barakat dúṉgá, ki qaumeṉ us kí nasl se hoṉgí aur ‘álam ke bádsháh us se paidá hoṉge. 17Tab Abrahám sarnigún húá, aur haṉskar dil meṉ kahne lagá, ki Kyá sau baras ke buḍḍhe se beṭá hogá; aur kyá Sárah ke jo nawwe baras kí hai, aulád hogí? 18Aur Abrahám ne Ḳhudá se kahá, ki Kásh Ismá‘íl tere huzúr jítá rahe! 19Tab Ḳhudá ne farmáyá, ki Beshakk terí bíwí Sárah ke tujh se beṭá hogá; tú us ká nám Izháq rakhná; aur maiṉ us se, aur phir us kí aulád se, apná ‘ahd, jo abadí ‘ahd hai, báṉdhúṉgá. 20Aur Ismá‘íl ke haqq meṉ bhí maiṉ ne terí du‘á suní: dekh, maiṉ use barakat dúṉgá, aur use baromand karúṉgá, aur use bahut baṛháúṉgá; aur us se bárah sardár paidá hoṉge, aur maiṉ use baṛí qaum banáúṉgá. 21Lekin maiṉ apná ‘ahd Izháq se báṉdhúṉgá, jo agle sál isí waqt i mu‘aiyan par, Sárah se paidá hogá. 22Aur jab Ḳhudá Abrahám se báteṉ kar chuká, to us ke pás se úpar chalá gayá. 23Tab Abrahám ne apne beṭe Ismá‘íl ko aur sab ḳhánazádoṉ, aur apne sab zarḳharídoṉ ko, ya‘ní apne ghar ke sab mardoṉ ko liyá aur usí roz Ḳhudá ke hukm ke mutábiq un ká ḳhatna kiyá. 24Abrahám ninánawe baras ká thá jab us ká ḳhatna húá. 25Aur jab us ke beṭe Ismá‘íl ká ḳhatna húá to wuh terah baras ká thá. 26Abrahám aur us ke bete Ismá‘íl ká ḳhatna ek hí din húá. 27Aur us ke ghar ke sab mardoṉ ká ḳhatna, ḳhánazádoṉ aur un ká bhí jo pardesíoṉ se ḳharíde gaye the, us ke sáth húá.

Voafantina amin'izao fotoana izao:

Paidáish 17: URDR55

Asongadina

Hizara

Dika mitovy

None

Tianao hovoatahiry amin'ireo fitaovana ampiasainao rehetra ve ireo nasongadina? Hisoratra na Hiditra