Kisary famantarana ny YouVersion
Kisary fikarohana

Paidáish 18

18
1Phir Ḳhudáwand Mamre ke balútoṉ meṉ use nazar áyá: aur wuh din ko garmí ke waqt apne ḳhaime ke darwáze par baiṭhá thá; 2aur us ne apní áṉkheṉ uṭhákar nazar kí, aur kyá dekhtá hai: ki tín mard us ke sámne khaṛe haiṉ: wuh un ko dekhkar ḳhaime ke darwáze se un se milne ko dauṛá, aur zamín tak jhuká, 3aur kahne lagá, ki Ai mere Ḳhudáwand agar mujh par áp ne karam kí nazar kí hai, to apne ḳhádim ke pás se chale na jáeṉ; 4balki thoṛá sá pání láyá jáe; aur áp apne páṉw dhokar us daraḳht ke níche árám kareṉ. 5Maiṉ kuchh roṭí látá húṉ; áp tázadam ho jáeṉ, tab áge baṛheṉ, kyúṉki áp isí liye apne ḳhádim ke háṉ áe haiṉ. Unhoṉ ne kahá, Jaisá tú ne kahá hai, waisá hí kar. 6Aur Abrahám ḍere meṉ Sárah ke pás dauṛá gayá, aur kahá, ki Tín paimána bárík áṭá jald le aur use gúṉdhkar phulke baná. 7Aur Abrahám galle kí taraf dauṛá, aur ek moṭá táza bachhṛá lákar ek jawán ko diyá, aur us ne jaldí jaldí use taiyár kiyá. 8Phir us ne makkhan aur dúdh aur us bachhṛe ko, jo us ne pakwáyá thá, lekar un ke sámne rakkhá, aur áp un ke pás daraḳht ke níche khaṛá rahá; aur unhoṉ ne kháyá. 9Phir unhoṉ ne us se púchhá, ki Terí bíwí Sárah kaháṉ hai? Us ne kahá, Wuh ḍere meṉ hai. 10Tab us ne kahá. Maiṉ phir mausim i bahár meṉ tere pás áúṉgá, aur dekh, terí bíwí Sárah ke beṭá hogá. Us ke píchhe ḍere ká darwáza thá, Sárah waháṉ se sun rahí thí. 11Aur Abrahám aur Sárah za‘íf aur baṛí ‘umr ke the; aur Sárah kí wuh hálat nahíṉ rahtí thí jo ‘auratoṉ kí hotí hai. 12Tab Sárah ne apne dil meṉ haṉskar kahá, Kyá is qadr ‘umr rasída hone par bhí mere liye shádmání ho saktí hai, háláṉki merá ḳhudáwand bhí za‘íf hai? 13Phir Ḳhudáwand ne Abrahám se kahá, ki Sárah kyúṉ yih kahkar haṉsí, ki Kyá mere, jo aisí buṛhiyá ho gayí húṉ, wáqa‘í beṭá hogá? 14Kyá Ḳhudáwand ke nazdík koí bát mushkil hai? Mausim i bahár meṉ mu‘aiyan waqt par maiṉ tere pás phir áúṉgá, aur Sárah ke beṭá hogá. 15Tab Sárah inkár kar gayí, ki Maiṉ nahíṉ haṉsí: kyúṉki wuh ḍartí thí. Par us ne kahá, Nahíṉ, tú zarúr haṉsí thí.
16Tab wuh mard waháṉ se uṭhe aur unhoṉ ne Sadúm ká ruḳh kiyá; aur Abrahám un ko ruḳhsat karne ko un ke sáth ho liyá. 17Aur Ḳhudáwand ne kahá, ki Jo kuchh maiṉ karne ko húṉ, kyá use Abrahám se poshída rakkhúṉ? 18Abrahám se to yaqínan ek baṛí aur zabardast qaum paidá hogí, aur zamín kí sab qaumeṉ us ke wasíle se barakat páeṉgí. 19Kyúṉki maiṉ jántá húṉ, ki wuh apne beṭoṉ aur gharáne ko jo us ke píchhe rah jáeṉge wasíyat karegá, ki wuh Ḳhudáwand kí ráh meṉ qáim rahkar ‘adl aur insáf kareṉ, táki jo kuchh Ḳhudáwand ne Abrahám ke haqq meṉ farmáyá hai use púrá kare. 20Phir Ḳhudáwand ne farmáyá, Chúṉki Sadúm aur ‘Amúrah ká shor baṛh gayá, aur un ká jurm niháyat sangín ho gayá hai; 21is liye maiṉ ab jákar dekhúṉgá, ki kyá unhoṉ ne sarásar waisá hí kiyá hai jaisá shor mere kán tak pahuṉchá hai; aur agar nahíṉ kiyá to maiṉ ma‘lúm kar lúṉgá. 22So wuh mard waháṉ se muṛe aur Sadúm kí taraf chale; par Abrahám Ḳhudáwand ke huzúr khaṛá hí rahá. 23Tab Abrahám ne nazdík jákar kahá, Kyá tú nek ko bad ke sáth halák karegá? 24Sháyad us shahr meṉ pachás rástbáz hoṉ: kyá tú use halák karegá, aur un pachás rástbázoṉ kí ḳhátir, jo us meṉ hoṉ, us maqám ko na chhoṛegá? 25Aisá karná tujh se ba‘íd hai, ki nek ko bad ke sáth már ḍále, aur nek bad ke barábar ho jáe; yih tujh se ba‘íd hai. Kyá tamám dunyá ká insáf karnewálá insáf na karegá? 26Aur Ḳhudáwand ne farmáyá, ki Agar mujhe Sadúm meṉ, shahr ke andar, pachás rástbáz mileṉ, to maiṉ un kí ḳhátir us maqám ko chhoṛ dúṉgá. 27Tab Abrahám ne jawáb diyá aur kahá, ki Dekhiye, maiṉ ne Ḳhudáwand se bát karne kí jur’at kí, agarchi maiṉ ḳhák aur rákh húṉ: 28sháyad pachás rástbázoṉ meṉ páṉch kam hoṉ; kyá un páṉch kí kamí ke sabab se tú tamám shahr ko nest karegá? Us ne kahá, Agar mujhe wahaṉ paiṉtálís mileṉ, to maiṉ use nest nahíṉ karúṉgá. 29Phir us ne us se kahá, ki Sháyad waháṉ chálís mileṉ. Tab us ne kahá, ki Maiṉ un chálís kí ḳhátir bhí yih nahíṉ karúṉgá. 30Phir us ne kahá, Ḳhudáwand náráz na ho, to maiṉ kuchh âur ‘arz karúṉ. Sháyad waháṉ tís mileṉ. Us ne kahá, Agar mujhe waháṉ tís bhí mileṉ, taubhí aisá nahíṉ karúṉgá. 31Phir us ne kahá, Dekhiye! maiṉ ne Ḳhudáwand se bát karne kí jur’at kí: sháyad waháṉ bís mileṉ. Us ne kahá, Maiṉ bís kí ḳhátir bhí use nest nahíṉ karúṉgá. 32Tab us ne kahá, Ḳhudáwand náráz na ho, to maiṉ ek bár âur kuchh ‘arz karúṉ. Sháyad waháṉ das mileṉ. Us ne kahá, Maiṉ das kí ḳhátir bhí use nest nahíṉ karúṉgá. 33Jab Ḳhudáwand Abrahám se báteṉ kar chuká, to chalá gayá: aur Abrahám apne makán ko lauṭá.

Voafantina amin'izao fotoana izao:

Paidáish 18: URDR55

Asongadina

Hizara

Dika mitovy

None

Tianao hovoatahiry amin'ireo fitaovana ampiasainao rehetra ve ireo nasongadina? Hisoratra na Hiditra