Zabúr 13
13
TERAHWÍṈ ZABÚR.
Is zabúr meṉ tangí aur musíbat meṉ Ḳhudá ke bhul jane kí faryád (1, 2), aur riháí kí duạ́ (3, 4), aur yaqín ki Ḳhudá riháí bakhshegá (5, 6).
Sardár Mug̣anní ke liye; Dáúd kí Zabúr.
1Ai Yahowáh, tú kab tak mujhe hamesha bhúlá rahegá? Tú kab tak apná chihra mujh se chhipáegá? 2Maiṉ kab tak apní ján meṉ mansúbe, aur apne dil meṉ g̣am roz ba roz rakhúṉgá? Mera dushman kab tak mujh par sar-baland rahegá?
3Ai Yahowáh, mere Ḳhudá, nazar kar, merí sun; merí áṉkheṉ raushan kar, mabádá maiṉ maut meṉ soúṉ; mabádá mera dushman kahe, ki 4“Maiṉ us par gálib áyá,” aur mere muḳhálif, jab maiṉ ṭal jáúṉgá, ḳhushi kareṉ.
5Aur maiṉ ne terí rahmat par bharosa rakhá hai; mera dil terí naját se ḳhushi kare; 6maiṉ Yahowáh kí hamd gáúṉgá, kyúṉki us ne mujh se achchhá sulúk kiyá hai.
Terpilih Sekarang Ini:
Zabúr 13: URDRPS
Highlight
Kongsi
Salin
Ingin menyimpan sorotan merentas semua peranti anda? Mendaftar atau log masuk
Historical text first published in 1863, and maintained by the British and Foreign Bible Society.