Zabúr 14

14
CHAUDAHWÍN ZABÚR.
Insán kí nasl bilkull ḳharáb hai, aur yih ḳharábí sáre baní Ádam meṉ phail gaí (1, 3). Sáre látáib gunahgároṉ par Ḳhudá ki halák karnewáli ạdálateṉ beshakk názil hongí (4, 6). Kásh ki Ḳhudá apne musíbatzada barguzídoṉ ko har tarah ke dukh aur dushmanoṉ se bacháe (7)!
Sardár Mug̣anní ke liye; Dáúd kí Zabúr.
1Ahmaq ne apne dil meṉ kahá hai, ki “Ḳhudá hai hí nahíṉ!” Unhoṉ ne ḳhárábí kí, nafratí kám kíe haiṉ; koí nikokár nahíṉ. 2Yahowáh ne ásmán par se baní Ádam par jhánká, táki dekhe, ki koí dánishmandí kartá, yạne, Ḳhudá ko ḍhúnḍhtá hai, yá nahín. 3Wuh bil-kull bhaṭak gae; wuh ek hí sáth bigaṛ gae: koí nikokár nahíṉ, ek bhí nahíṉ.
4Kyá yih sáre badkár nahíṉ jánte, jo merí ummat ko kháte, jaise roṭí kháte haiṉ, aur Yahowáh ká nám nahíṉ lete? 5Waháṉ wuh shiddat se ḍare, kyúṉki Ḳhudá nasl i sádiq meṉ hai. 6Tum musíbatzada ke mansúbe kí tahqír karoge, kyúṉki Yahowáh us kí já i panáh hai.
7Kásh Yahowáh ke apní asír ummat ke pás phir áne meṉ Saihún se Isráíl kí naját ho! Tab Yạqúb shád, aur Isráíl ḳhush ho!

Terpilih Sekarang Ini:

Zabúr 14: URDRPS

Highlight

Kongsi

Salin

None

Ingin menyimpan sorotan merentas semua peranti anda? Mendaftar atau log masuk