Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Zabúr 36

36
CHHATTÍSWÍṈ ZABÚR.
Is zabúr ke tín hisse haiṉ. Pahle hisse meṉ insán kí ḳharábí ká is tarah se bayán hai, ki sharír ádmí kharábí ko apná mạbúd ṭhahráke us ke ilhám kí farmánbardárí kartá hai, aur is se sábit hotá hai ki wuh Ḳhudá se kuchh ḳhauf nahíṉ rakhtá, aur us se sirf badí aur jhúṭh sádir hotá hai, aur wuh badí se hargiz alag nahín rahtá (1—4). Dúsre hisse meṉ Dáúd is ḳharábí ke muqábale meṉ Ḳhudá kí un sifatoṉ ká bayán kartá hai, jin se sádiqoṉ ko ḳhátirjamạí hásil hotí hai. Insán kí kharábí ke muqábale meṉ Ḳhudá apní mihrbání o mahabbat aur amánatdárí aur sadáqat kí mạmúrí ke sáth záhir hotá hai (5—9). Tísre hisse meṉ Dáúd duạ́ kartá hai ki Ḳhudá use insán kí ḳharábí se bacháe, aur apní yih sifateṉ us par aur sáre sádiqoṉ par záhir kare; aur use yaqín hai ki Ḳhudá yih duạ́ mustajáb farmáke badkároṉ ko halák karegá (10—12).
Sardár Mug̣anní ke liye; Yahowáh ke Bande Dáúd kí Zabúr.
1Mujh sharír se mere dil ke andar ḳharábí kalam kartí hai:”#36:1 Yạne, sharír kahtá hai, ki Ḳharábí mera mạbúd hokar mujh se apne ilhám ká kalam kartí hai; aur Dáúd kahtá hai ki is se sábit hotá hai, ki “us kí ánkhoṉ ke sámhne Ḳhudá ká ḳhauf mutlaqan nahíṉ.” us kí ánkhon ke sámhne Ḳhudá ká ḳhauf mutlaqan nahíṉ. 2Kyúṉki us ne apní badí ke dhúnḍh nikálne kí nisbat aur us se ghin karne kí nisbat apní samajh meṉ apne haqq meṉ chikní chikní báteṉ kí haiṉ. 3Us ke muṉh kí báteṉ jhúṭh aur dag̣á haiṉ, wuh dánishmandí karne aur nekí karne se báz áyá hai. 4Wuh apne bistar par jhúṭh sochá kartá hai; wuh apne taíṉ us ráh par khaṛá kartá hai jo achchhí nahíṉ hai; wuh badí ko tark nahíṉ kartá.
5Ai Yahowáh, terí mihrbání ásmánon par hai, aur terí amánatdárí bádaloṉ tak. 6Terí sadáqat Qádir i Mutlaq ke paháṛoṉ ke mánind hai; terí ạdálateṉ baṛá gahráo haiṉ; Ai Yahowáh, tú ádmí aur baháim ko bachatá hai. 7Ai Ḳhudá, terí mihrbaní kyá hí beshqímat hai, aur baní Ádam tere paroṉ ke sáye tale panáh le sakte haiṉ. 8Wuh tere ghar kí chiknáí se ser hoke píenge; aur tú apní ịshratoṉ kí naddí se unheṉ seráb karegá. 9Kyúṉki hayát ká chashma tere pas hai; tere núr meṉ ham núr ko dekhenge.
10Apní mihrbání ko apne pahchánnewáloṉ ke liye, aur sídhe-dilwáloṉ ke liye apní sadáqat ko baṛhátá rah.
11G̣urúr ká páṉw mujh par áne na pae, aur sharíroṉ ká háth mujhe ḳhárijul-watan na karne pae. 12Badkár wahíṉ gir paṛe haiṉ; wuh ḍhakele gae aur uṭh nahíṉ sakte.

Iliyochaguliwa sasa

Zabúr 36: URDRPS

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia