Lekin us kí kamán mazbút rahí,
Aur us ke háthoṉ aur bázúoṉ ne
Ya‘qúb ke Qádir ke háth se quwwat páí;
Wahíṉ se wuh chaupán uṭhá hai jo Isráíl kí chaṭán hai:
Yih tere báp ke Ḳhudá ká kám hai, jo terí madad karegá,
Usí Qádir i mutlaq ká kám,
Jo úpar se ásmán kí barakateṉ,
Aur níche se gahre samundar kí barakateṉ,
Aur chhátiyoṉ aur rihmoṉ kí barakateṉ ‘atá karegá.