1
Paidáish 50:20
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Tum ne to mujh se badí karne ká iráda kiyá thá, lekin Ḳhudá ne usí se nekí ká qasd kiyá, táki bahut se logoṉ kí ján bacháe; chunáṉchi áj ke din aisá hí ho rahá hai.
Linganisha
Chunguza Paidáish 50:20
2
Paidáish 50:19
Yúsuf ne un se kahá, Mat ḍaro; kyá maiṉ Ḳhudá kí jagah par húṉ?
Chunguza Paidáish 50:19
3
Paidáish 50:21
Is liye tum mat ḍaro; maiṉ tumhárí aur tumháre bál bachchoṉ kí parwarish kartá rahúṉgá. Yúṉ us ne apní muláim bátoṉ se un kí ḳhátirjama‘ kí.
Chunguza Paidáish 50:21
4
Paidáish 50:17
ki Tum Yúsuf se kahná, ki Apne bháiyoṉ kí ḳhatá, aur un ká gunáh ab baḳhsh de; kyúṉki unhoṉ ne tujh se badí kí: so ab tú apne báp ke Ḳhudá ke bandoṉ kí ḳhatá baḳhsh de. Aur Yúsuf, un kí yih báteṉ sunkar royá.
Chunguza Paidáish 50:17
5
Paidáish 50:24
Aur Yúsuf ne apne bháiyoṉ se kahá, Maiṉ martá húṉ: aur Ḳhudá yaqínan tum ko yád karegá, aur tum ko is mulk se nikálkar us mulk meṉ pahuṉcháegá, jis ke dene kí qasam us ne Abrahám aur Izháq aur Ya‘qúb se kháí thí.
Chunguza Paidáish 50:24
6
Paidáish 50:25
Aur Yúsuf ne baní Isráíl se qasam lekar kahá, Ḳhudá yaqínan tum ko yád karegá, so tum zarúr hí merí haḍḍiyoṉ ko yaháṉ se le jáná.
Chunguza Paidáish 50:25
7
Paidáish 50:26
Aur Yúsuf ne ek sau das baras ká hokar wafát páí: aur unhoṉ ne us kí lásh meṉ ḳhushbú bharí aur use Misr hí meṉ tábút meṉ rakkhá.
Chunguza Paidáish 50:26
Nyumbani
Biblia
Mipango
Video