1
Zabúr 37:4
Zabúr 1863 (Roman Urdū)
Aur Yahowáh par apne taíṉ ḳhush kar, aur wuh tujhe tere dil ke suwál púre karegá.
Linganisha
Chunguza Zabúr 37:4
2
Zabúr 37:5
Apní rah Yahowáh par chhoṛ de, aur us par tawakkul kar, aur wuh ḳhud baná legá
Chunguza Zabúr 37:5
3
Zabúr 37:7
Yahowáh ke áge ḳhámosh rah aur us kí intizárí kar; us par jo apní rah ko kámyáb kartá hai apne taíṉ na kuṛhá, us ádmí par jo bandisheṉ bándhtá hai.
Chunguza Zabúr 37:7
4
Zabúr 37:3
Yahowáh par bharosa rakh aur nekí kar; zamín par ábád rah aur amánatdárí par charáí kar.
Chunguza Zabúr 37:3
5
Zabúr 37:23-24
Nek mard ke qadam Yahowáh se sábit húe, aur wuh us kí rah meṉ ḳhush hogá. Kyúṉki wuh giregá, lekin paṛá na rahegá, is liye ki Yahowáh us ká dastgír hai.
Chunguza Zabúr 37:23-24
6
Zabúr 37:6
aur terí sadáqat ko núr ke mánind, aur terí ạdálat ko do pahar ke mánind nikálegá.
Chunguza Zabúr 37:6
7
Zabúr 37:8
G̣usse se báz á aur g̣azab ko chhoṛ de, tú sirf badí karne ke liye apne taíṉ na kuṛhá
Chunguza Zabúr 37:8
8
Zabúr 37:25
Maiṉ laṛká thá, búṛhá bhí húá; aur maiṉ ne sádiq ko matrúk, aur us kí nasl ko roṭí mángte na dekhá.
Chunguza Zabúr 37:25
9
Zabúr 37:1
Badkároṉ ke sabab se, tú apne taíṉ na kuṛhá, aur buráí karnewáloṉ par rashk na khá.
Chunguza Zabúr 37:1
Nyumbani
Biblia
Mipango
Video