1
Zabúr 51:10
Zabúr 1863 (Roman Urdū)
Ai Ḳhudá, mere liye pák dil paidá kar, aur mustaqím rúh mere andarún meṉ naí baná.
Linganisha
Chunguza Zabúr 51:10
2
Zabúr 51:12
Apní naját kí ḳhushí mujhe phir ịnáyát kar, aur rúh i razámand se mujhe sambhál.
Chunguza Zabúr 51:12
3
Zabúr 51:11
Mujhe apne huzúr se na nikal, aur apná Ruh-ul-Quds mujh se na le.
Chunguza Zabúr 51:11
4
Zabúr 51:17
Ḳhudá ke zabíhe shikasta rúh haiṉ; dil shikasta aur kuchle húe ko, Ai Ḳhudá, tú haqír na jánegá.
Chunguza Zabúr 51:17
5
Zabúr 51:1-2
Ai Ḳhudá, apní mihrbání ke mutábiq mujh par rahm kar; apní rahmatoṉ kí firáwání ke mutábiq merí taqsíroṉ ko miṭá de. Merí badí se mujhe baḳhúbí dho, aur merí ḳhatá se mujhe táhir kar!
Chunguza Zabúr 51:1-2
6
Zabúr 51:7
Tú mujhe zúfá se pák karegá, aur maiṉ táhir húṉgá; mujhe dho ḍálegá, aur maiṉ barf se ziyádatar sufaid ho jáúṉgá.
Chunguza Zabúr 51:7
7
Zabúr 51:4
Maiṉ ne tera, sirf terá hí gunah kiyá, aur terí nigah meṉ badí kí hai, táki tú apne kalam meṉ sádiq rahe aur apne insáf karne meṉ barí ṭhahre.
Chunguza Zabúr 51:4
Nyumbani
Biblia
Mipango
Video