1
Paidáish 45:5
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Aur is bát se ki tum ne mujhe bechkar yaháṉ pahuṉchwáyá, na to g̣amgín ho, aur na apne apne dil meṉ pareshán ho: kyúṉki Ḳhudá ne, jánoṉ ko bacháne ke liye, mujhe tum se áge bhejá.
Linganisha
Chunguza Paidáish 45:5
2
Paidáish 45:8
Pas tum ne nahíṉ, balki Ḳhudá ne, mujhe yaháṉ bhejá; aur us ne mujhe goyá Fir‘aun ká báp, aur us ke sáre ghar ká ḳhudáwand, aur sáre mulk i Misr ká hákim banáyá.
Chunguza Paidáish 45:8
3
Paidáish 45:7
Aur Ḳhudá ne mujh ko tumháre áge bhejá, táki tumhárá baqiya zamín par salámat rakkhe, aur tum ko baṛí riháí ke wasíle se zinda rakkhe.
Chunguza Paidáish 45:7
4
Paidáish 45:4
Aur Yúsuf ne apne bháiyoṉ se kahá, Zará nazdík á jáo. Aur wuh nazdík áe. Tab us ne kahá, Maiṉ tumhárá bháí Yúsuf húṉ, jis ko tum ne bechkar Misr pahuṉchwáyá.
Chunguza Paidáish 45:4
5
Paidáish 45:6
Is liye ki ab do baras se mulk meṉ kál hai; aur abhí páṉch baras âur aise haiṉ jin meṉ na to hal chalegá aur na fasl kaṭegí.
Chunguza Paidáish 45:6
6
Paidáish 45:3
Aur Yúsuf ne apne bháiyoṉ se kahá, Maiṉ Yúsuf húṉ; kyá merá báp ab tak jítá hai? Aur us ke bháí use kuchh jawáb na de sake: kyúṉki wuh us ke sámne ghabrá gaye.
Chunguza Paidáish 45:3
Nyumbani
Biblia
Mipango
Video